Old smartphone hang kyu hota hai ? | आइये थोड़ा जानते है आखिर स्मार्टफोन ओल्ड होने के बाद स्लो क्यों होते है !

Old smartphone hang kyu hota hai ? | आइये थोड़ा जानते है आखिर स्मार्टफोन ओल्ड होने के बाद स्लो क्यों होते है !

Namaskar dosto, Mera naam hai jakir Hussain knowledge finder blog par apka swagat hai , AJ ke is post par bat karenge smartphone old, purana hote hi hang kyu karta hai, ya ni mobile phone kuch din chalane ke bad slow aur hang kyu krna suru hota hai.

Aj ke is date par mobile phone, smartphone har logoke paas hai, android phone chote se chote baccho ke hath mein dekhne ko milta hai, aur is generation mein smartphone company walo ne bhi har din ek na ek naya model smartphone launch kar hi deta hai.




Aur isi wajah se hi har youth ko yeh man me aata hai mein naya phone kharidunga naya model wala. Toh dosto apne title padha is post par hum bat karenge mobile phone kuch din calane ke bad hang, slow kyu ho jata hai

  Is site ka kuch knowledgeable post –

Iska karan toh upar ek bataya hi gaya hai jo ki smartphone har din, 20 se 25 din bad bad naya smartphone market par aa hi jata hai. yeh bhi ek karan hai ki har naya mobile aate hai aur old wale smartphone kuch saal use karne se mobile ka performance buri ho jata hai.

Aiye ab jante hai Smartphone, mobile phone old hone ke bad hang kyu hote hai iske 3 reasons.


1. Sabhi smartphone par OS (Operating system ) rehta hai Android + Brand ki khud ka ek OS rehta hai, Honor ka EMUI Samsung ka khudka ek hai aise karke har brand ka alag alag OS ke sath Android hota hai. kuch mobile phone aise hota hai jo ki OS upgradable hta hai manlijie android 5.0 se ap latest version kar payenge, isse mobile phone hang hone ka change yeh rehta hai ki apka phone par jo storage diya gaya hai woh space kam hoti hai or mobile hang hona lag jata hai, jaisa ki hum sabko pata hai koyi bhi Software/OS latest version jo hota hai voh jyda MB ki hoti hai.

2. Kuch brand aisa bhi karta hai phone banate samay aise kuch karte hai ki yeh phone 2 saal chalne ke bad problem kare. yani hang karna shuru kare taki naya phone ap kharide. mene yeh bhi paya hai ki kuch brand aise bhi krta hai Software update ke sath aise update de deta hai jisse old device hang kare.




3. yeh jo reasons hai mene khud isko analysis kr chuka hu, mene jitna bhi smartphone use kiya sabhi phone kuch din chalane ke bad, bad experience milna laga iska karan hai, apka mobile phone agar kayi bar mitti mein ghir chuka hai, toh mobile ka andar mein jo parts rehta hai voh ghr bhr ho jata hai or isse apka phone hang hone lag jata hai, wese me har chij ka ek expiry hota hai, vese hi smartphone par lagay hua parts bhi aise hi hota hai jab phone old hone ja rha hai aur smartphone ki sabhi parts kam work krna lagta hai uske karan se mobile phone purane hone ke bad hang karna lagat hai.



Old hote hi mobile phone slow hota hai, Iska solution kya hai ? 
Dosto dekha jaye toh iska koyi solution hai nehi firbhi mera personal experience hai kuch batata hu. Sabse phele toh yeh ki apka smartphone jab 1se2 saal ho jata hai tab ab yeh kare apka phone par jyda application na rakhe isse apka phone ka hang hone se bach jayega, dusra chij apke phone par ek external SD card lagaye phones ka jo files bagera hai kuch file extra memory card par rakhiye isse apka phone ki internal storage par jagah rahega toh apka phone accha se chalega.

     Technology ka jankari hindi me milega ek bahut hi behtaren website –        Anytechinfo.com owner – Ravi kumar sahu anytechinfo site par ap ekbar         jarur visit kare, apko technology ki gyan jarur badhega.

Yeh jo tarika hai smartphone ko fast chalane ke liye isse apka phone toh accha khsa fast chalega lekin ispar kuch dikkat bhi aata hai. yeh tarika h ki apka phone par jo bhi applications bagera h isme se updates na kare, lekin agar apka bahut hi jaruri app h toh unko toh update karna hi hoga, jiska jarurt kam or update nehi karne se bhi use kar sakte ho voh na kre isse bhi old smartphone accha perform krta hai. yeh tarika par dikkat yehi h ki apka apps bagera updated nhi rahega aur security thoda kam ho jayega.



Final word : agar apka budget hai toh ap ek naya smartphone kharide apka old smartphone ka 2 ya 3 saal hua hai toh, ap ek naya smartphone kharid sakte hai. wese apko mein bata ab Flipkart par exchange offers bhi hota hai jaha pe apka smartphone exchange kr pate ho.

Muje ummed hai apko yeh post acha laga hoga, apko thoda bahut jankari mil gaya Old smartphone hang kyu hote hai iske bare me. post kaisi lagi comment jarur kare. Knowledgefinder.in blog ko support kare knowledge finder ki facebook page like kare aur is post ko share kardijiye apne social profile par.

“Post read karne ke liye aur knowledge finder blog par visit krne ke liye apka bahut bahut Dhanyabad”  bye and Take care

4 thoughts on “Old smartphone hang kyu hota hai ? | आइये थोड़ा जानते है आखिर स्मार्टफोन ओल्ड होने के बाद स्लो क्यों होते है !

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *