Paytm par complete KYC nahi hone se kya problem ?

Hi friend, Aapko dhanyabad deta hu hamare site par visit karne ke liye. Knowledge finder hindi blog hai ispar hum knowledgeable bate share karte hai articles ke madyam se Jaise tech knowledge,internet ki jankari,banking aur apps, computer wagerah ka bhi jankari milta hai www.knowledgefinder.in par.

Toh aaj ke is post par humne banking related hi  jankari le ayi hai keval banking nahi ap app related bhi keh sakte hai kyuki Paytm ek app hi hai, is post par apko jankari milega Paytm kyc hone se kya fayde hai aur paytm ka kyc nahi hone se kya nuksan hai. hum detail me janenge Paytm kYC kya hai ? paytm KYC kyu karna cahiye, paytm kyc nahi karne se kya kya features nahi milta hai,paytm kyc kaise kare, half paytm kyc aur complete kyc mein kya antar hai

 


Paytm KYC kya hai ?
Dosto paytm ek wallet app hai jispar money add karke recharges,bill payment,travel ticket aur bhi bahut sare digital services kiy jati hai. 2018 se paytm par kyc system laghu hua hai paytm kyc ek RBI ke rules hai jo ki sabhi money banking related apps par karna hota hai, yeh ek documents submition hai apka Pan card,adhar card dekr krna padta hai.

Paytm half kyc hai aap ghar bhete sirf pan card/voter id number se jo kyc karte hai woh paytm half kyc hai aur paytm ka complete kyc hai aapko paytm ki kyc center ya phir paytm ke office par jake adhar card se KYC krna hai isko paytm ke complete kyc bolte hai.

Paytm kyc kaise kare!
Paytm KYC karne ke liye Paytm Centre par jana padta hai Udhar voter ID PAN card DeKar aap Paytm KYC complete kar sakte hai aur agar apke area Mein Paytm KYC Centre Nahin Hai Toh aapke area mein jo online service Dene Wale shop hote hain wo Sare dukan par bhi Paytm ka KYC complete karne ke liye Suvidha rehta hai.

Aap aapke area ka dukaan par Ek Bar visit Karke check Kare ki Udar Paytm KYC Karte Hain Ki Nahin Agar us shop mein Paytm KYC Karte Hain Toh aap aapka Paytm KYC udhar se kar sakte hain. 

Paytm kyc karne se kya fayde ?

Agar aap paytm ki complete kyc karlenege toh apko paytm par jitna bhi features diya hai sabhi features istemal kar payenge, paytm se aap koyi bhi bank acount par paisa transfer kar sakte hai, paytm wallet to wallet paisa transfer kar payenge aur recharges karne par sabhi cashback wagerah milega. 

paytm complete kyc rehne se aap apka paytm account par 100,000 se bhi jyda amount ka transactions kar payenge jo ki bina kyc paytm ke account par sirf 10,000 rupees ka transaction kar pate hai.

Final word
Toh doston Asha Karta Hoon aap Jaan gaye hain Paytm KYC complete nahi hone se kya problem aur kyc hone se kya benefits hai. 

Agar aapko is post Pasand Aaya to ise Share Kare aur Hamare site ki latest post pane ke liye Hamare Facebook page ko like kare, Hamare blog ki Bell icon ko press Karen dhanyavad. 

4 thoughts on “Paytm par complete KYC nahi hone se kya problem ?

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *