50 amazing facts of Punjab State in Hindi

[lwptoc]

50 amazing facts of Punjab State!

Hello Dosto aap sab kaise ho mai asha karta hu aap sabhi ache hi honge. Ek baar phir se hazir hua hu ek kamaal ki jaankari ke satha mai asha karta apko 50 amazing facts of Punjab state ke bare mai jankari achhi lagegi.

About Punjab State

Punjab state ke baare mai aap sab to jaante hi honge yeh india ke north side mai aata hai or vaise dekhne mai to Punjab ek chota sa state hai but kuch aise amazing facts hai jo Punjab ke baare mai aapko nahi pta honge. Punjab ka area 50362 square kilometres hai jis ko 22 districts mai divide kiya gya hai.
To aaiye ab jante mai hai 50 amazing facts about Punjab state vaise Punjab ek bhut hi beautiful state hai. Agar population ke hisaab se dekha jaye to sixteenth number pe aata hai. Punjab mai sabse badi district Firozpur hai or sabse choti district Kapurthala hai.
50 amazing facts of Punjab State in Hindi

50 amazing facts about Punjab state

1. Punjab state mai zyada tar Punjabi language boli jaati hai jise Punjab Ke logo ki mother toungue bhi bola jaata hai. Vaise to hindi language bhi bolte hai log but jada tar Punjabi language hi boli jaati hai.
 
2. Punjab ki capital Chandigarh hai vaise to Chandigarh Haryana ki bhi capital hai.
 
3. Punjab ka area 50362 square kilometres hai or Punjab ka area rank 19th hai.


4. Punjab ko ko land of rivers ke naam se bhi jaana jaata hai. Punjab mai paanch river hai jin mai Jhelum, satluj, beas, raavi or chenab bhi shamil hai.
5. Punjab mai ek bhut hi famous city jiska naam Amritsar hai. Amritsar mai golden temple ke baare mai to aap sbhi ko to pta hi hoga jo ek bhut se logo ko attractions ban gya hai or yeh punjab  ke most visited places mai se eik haii 

  • 6. Punjab ke Amritsar district mai ek border bhaut hi famous hai ji atari border ke naam ne jaan jaata hai.


    7. Punjab ke Amritsar district mai jaliwala bagh bhut famous or historical places mai se ek hai. 


    8. Punjab ki sabse badi city Ludhiana hai. Punjab garmi le season mai bhut jada gram or thand ke season mai  bhut jada thanda ho jaata hai 


    9. Punjab mai sabse jada sikhs paye jaate hai jo Sikh religion se belong karte hai or shikh religion duniya ka 5th sabse bada religion hai.


    10. Worlds largest kitchen jo ki Amritsar, Punjab ke the golden temple mai hai.


    11. Punjab ke log sir pe turban phente hai or turban phenna inke regilon ka ek hissa hai. Sikh religion mai turban ko body ka hissa maana gya hai. 


    12. Punjab ki population 30.4 million ke approx hai.


    13. Punjab ka old name  Sapt-Sindhava tha  yeh naam Punjab mai uski seven rivers ke karan rakha gya baad mai jab 1947 mai partition hua to punjab mai sirf panch nadiyan hi reh gayi or is panch nadiyon ke karan is state ka naam Punjab par gya.

    14. Bhangra Punjab ka sabse popular folk dance hai. Aur ab to yeh pure world mai famous ho chuka hai. 

    15. Punjab mai sikh dharam ki shuruaat 15th or 16th century mai hui. Guru nanak dev ji ne sikh dharam ki shuruaat ki thi or guru nanak dev ji ke baad nine guru or hue islie Punjab ko guru ki nagri ke naam se bhi jaana jaata hai.

    16. Punjab mai jada tar log farmer hai or vo kheti karte hai Punjab mai dhaan or gehoon bhut jada paya jaata hai.


    17. Punjab ke log bhut hi bhadur hote hai or desh de aajad karvaane ke liye Punjabiyon ne bhut se balidaan diye hai.


    18. Punjabi language world mai sbse zada boli jaane vali languages mai se ek hai or yeh10th number par aati hai. Vahi Canada mai Punjabi language 3rd number pe sabse jada boli jane vali language mana jaata hai.


    19. Punjab ki bhoomi bhut hi upjao maani jaati hai is liye Punjab ko swarn fasal ke naam se bhi jaana jaata hai.


    20. Punjab ki vaja se bharat kabhi bhi kabbadi mai nahi hara hai.


    21. Kabbadi punjab ka sabse popular sports hai. Aur aab to yeh pure world mai khela jaata hai.


    22. Punjab ke Amritsar district mai international airport hai jab ki punjab ki capital Chandigarh mai domestic airport hai.


    23. Punjab mai vaisakhi, lohri, dusherra or diwali bade dhoom dham se manaye jaate hai.


    24. Punjab ki punjabi film industry bharat ki sabse tezzi grow karni vale filmy industry hai.


    25. Punjab ke Amritsar district mai durgaina mandir naam se ek temple bnaya gya hai jo charoo taraf se sarovar se ghira hua hai.


    26. Punjab ke Amritsar district mai Gobind garh naam ka ek fort famous bnaya gya hai jo tourists ka attraction ban chuka hai.


    27. Punjab ke Amritsar district mai Khalsa College bhut hi famous college hai kha jata hai ki Khalsa College angrezo ne bnvaya tha par aaj ki date pe yeh bhut famous hai.


    28. Punjab ke Amritsar district mai sada pind naam ki ek haveli bnaii gayi hai jise mai logo ke jeene or rehan sehan ke purane treeke ko dikhaya gya hai.
  • 29. Rigveda, sakatayana, ashtdhyayi, paini, nirukta of yaska, charak samhita, Mahabharat, bhagavad gita or aise hi kai dharmik garnth punjab mai hi likhe gaye gaye hai.
  • 30. India ka 19.6% weight or 11% rice punjab state se hi aata hai. Weight pure india mai punjab mai sabse jaada ugaya jaata hai isi ke kaaran punjab ko “Granary of india” kha jata hai
  • 31. Punjab ki capital ek bhut hi well planned or beautiful full cities mai se ek hai. Chandigarh ek union territory bhi hai. Chandigarh jada tar apne educational institutes ke karan famous hai.
  • 32. Punjab ke chief minister ka naam Amarinder singh hai. Punjab ke governor ka naam VP badnore hai or isme 13 parliament constituency hai.
  • 33. Punjab state ke animal ka naam blackbuck hai or bird ka naam baaz hai.
  • 34. Punjab mai bhut si wild life sanctuaries paii jaati hai. Abohar wildlife sanctuary, bir aishvan wildlife sanctuary, bir Dosanjh wildlife sanctuary un mai se ek hai.
  • 35. Punjab ke Ludhiana district main punjab agriculture University museum hai jo ki bhut hi famous hai.
  • 36. Punjab ka patiala district apni architecture or engineering ki wajah se bhut famous hai jo rajput or mughal culture ko darshata hai.
  • 37. Punjab ke patiala district mai Qila Mubarak complex naam kaa ek bhut hi famous or historical place hai.
  • 38. Punjab ki state river ka naam Indus hai or punjab ke state tree ka naam sheesham hai.
  • 39. Guru ram das ji ko punjab ki Amritsar city ka found kha jaata hai.
  • 40. Punjabi ki gurmukhi lipi ka invention guru angad dev di ne kiya tha.
  • 41. Indian Army mai aadhe se jada log Punjab se belong karte hai. Punjabiyon ka indian army mai bhut bada contribution hai.
  • 42.  Punjab ki roads har chote bade village se juri hui hai jisse transportation mai koi bhi problem nahi aati hai.
  • 43. Punjab ki Ludhiana district ko Punjab film industry ka hub maana jaata hai. Jada tar Punjab or bollywood movie Ludhiana mai hi shoot ki jaati hai.
  • 44. Haryana or Himachal Pradesh phele Punjab ka hi hissa the par 1966 mai Himachal Pradesh or Haryana ko Punjab se alag kar diya kyuki inki language alag thi.

45. Punjab mai bhut se steel plants bhi ja hai jo ki Mandi Gobindgarh mai hai. Is liye Punjab ko steel town bhi kha jata hai.

 

46. Takhshila jo ki indian ki sabse puraani University hai. Yeh bhi Punjab mai hai.

 

47. Kerela ke baad Punjab mai hi sabse jada healthy log hai. Or yeh health mai doosre number par aata hai.

48. Punjab ki triditional dress “kurta pajama” hai. Or larkiyon ki triditional dress “suit salwar” hai. Ab to yeh triditional pure world mai famous ho chuka hai.

49. Punjab ke log bhut hi milansaar or apni behtreen mehmaan nawaji ek liye famous hai.

50. Punjab ki sabse choti city ka naam Pathankot hai.

Toh yeh the top 50 amazing facts about Punjab state. Mai asha karta hoon aapko yeh jankari achhi lagi hogi. Is post ko apne dosto ke sath share karna na bhoole or meri post ko padhne ke liye aapka bahut bahut Dhanyawad.

हेलो दोस्तों, पोस्ट केसा लगा और कुछ सवाल है तोह कमेंट करे हो सके तोह इस पोस्ट को अपने दस्तो के साथ, सोशल मीडिया पर भी जरूर शेयर करे ?

हमारे लेटेस्ट पोस्ट की अपडेट पाने के लिए हमारे फेसबुक पेज Like करना न भूलें और हमारे ब्लॉग का bell icon को subscribe करे, पोस्ट पढ़ने के लिए, नॉलेज फाइंडर ब्लॉग विजिट करने के लिए बहुत बहुत धन्यवाद ।

यह भी पढ़े –

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *