About Nameri National Park

Nameri National Park ke bare main jankari!

Namaskar doston is post ke jariye aaj hum Nameri national park ki kuch jankariyaa aapke sath share kar raha hu. Is park ke baade mein janne ke liye aap is post ko pura paade.

Nameri National Park kab banaya gya tha

Nameri National Park itihaas dekhe to Nameri ko 1978 mein aarakshit van ghoshit kiya gya tha. Yeh van aabhayaranya ko 1985 mein Nameri vanyajeev abhayaarany ghoshit kiya gya. 1995 mein yeha saphed pankhon vaali lakadee ka battakh ki prajapatiyo ko dekhne ke sath hi Nameri vanyajeev abhayaarany ka mahattva baadne laga tha. 1998 mein National Park ke rup mein ghoshna ne Nameri National Park mein koi sarvekshano ka marg prastut kiya tha. Jisse Baaghon aur Saathiyon ko dekha gya.Aur yeh National park ko 2000 mein Tiger reserve ghoshit kiya gya tha.

Nameri National Park ki kuch batein

Bharat mein yesi koi jagahein hai jo khubsurat vadiyon ke sath-sath adventure se bharpur hai. Enhi mein se ak hai Assam ka Nameri National Park, jo na sirph aapni anokhi khubsurati ke liye jana jata hai balki ismein paye jaane vale jeevjantu bhi tourist ko khaphi aakarshit karte hai. Yeha camping aur traking yuvaaon ke beech kapho masahoor hai. Nameri National Park Sonitpur jile ke antargat aata hai aur yeh national park 200 varg km shetra mein phela hua hai. Is national park ki uttari seemaye Arunachal Pradesh ke Pakhui vanyajeev abhayaarany ke sath judi hui hai.

Aapko bata de ki Nameri National Park mein 300 se aadhik pakshiyon ki prajapati hai. Iske alawa anyaay prajapatiyon ke jaanwar aur jeevjantu maujud hai. Agar aap is jungle ko explore karna chahte hai to aapne liye ak saphari book kare aur yeha ka khubsurat najaron ki anand le. Is jungle mein machli padkarna bhi kafi masahoor hai, wahi iske aaspaas koi yesi sthal hai jise ghumna aap pasand karenge.

Nameri National Park ki yatra kiu kaare

Is jungle mein aapko koi saare haathiya dekhne ko mil jayenge, aap chahe to in haathiyo ki savaari bhi kar sakte hai. Iske alawa is national park ke andar doo chote-chote nadiya bhi hai, jismein boat rides ka bhi maja bhi liya ja skta hai. Iske alawa yeha river rafting bhi kar sakte hai. Traking, river rafting, haathee ki savaari, aur eco camp tak, sab kuch ak sandar trip ko pura karne ke liye kafi hai. Shahar ki bhaagdaud chutti lekar kuch sukun ke pal bitana chahte hai to yeh jagah aapke liye best hai. Prakriti ke kareeb Nameri National Park aapke man ko santi dega. Is park ko aapke pocket freindly bajet mein ghum sakte hai. Agar aap photography mein intrest rakhte hai to fir aap is jungle ko jarur explore karein.

Nameri National Park ghumne ka sahi samay

Kisi bhi jungle ko explore karne ke liye sahi samay par jana jaruri hai. Kiuki koi jungle garmiyon mein aag ki tarah baraste hai. Isiliye garmiyon mein Nameri national park jane ka plan na banaye. Halaki yeh kafi baadal hai, jiski vajah se iska tapman saalbhar samanya rehta hai, lekin aap yeha jana chahte hai to best samay mansun ka mausam hai. Wahi September se lekar March tak ke beech mein kabhi bhi yeha ja sakta hai.

At Last:

Toh dosto yeh tha aaj ke topic Nameri national park ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai assam ke Nameri national park ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Ye bhi padhe:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *