Assam ke Majuli Deep ke bare mein jankari!

about majuli deep in Hindi, Assam ke Majuli Deep ke bare mein jankari!

Namaskar doston aaj is post ke jariye Assam ke Majuli deep ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Majuli deep ke bare mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

About Majuli Deep in hindi

Majuli Bharat ke Assam ke Brahmaputra nadi ke madhya mein basha ak bada nadi deep hai. Majuli ko vishay ka sabse bada nadi deep ke rup mein darshaya jata raha hai. Yeh satya nahi hai. Brazil aur koi anya jagahon ke koi nadi deep kafi bade aakar ke hai aur unme sabse bada hai Bananal deep jo lagbhag 19,162.25 varg km bada hai. Waise to nadi par avasthit sabse bada deep Brazil ke Amazon aur Pata nadi par sthit Marajo deep hai parantu ise nadi deep mana nahi ja sakta kiuki iske ak kinaare par Atlantic Mahasagar hai. Nadi deep ko lekar anek bhramak tathya maujood hai.

Majuli deep ke dakshin mein Brahmaputra nadi aur uttar mein Kherkutia khuti naamak dhara avasthit hai. Uttar mein Subansiri nadi Kherkutia khuti se jud jati hai. Majuli deep kalantar mein Brahmaputra nadi aur uski sahayak nadiyon visheshkar Lohit nadi ke disha aur shetra parivartan ki vajah se bani hai.

Majuli deep ka Itihaas

Majuli deep ka itihaas mul rup se 16 vi shatabdi ka mana jata hai jab ise Asamiya sabhyata ki sanskritik raajdhani ke rup mein jana jata tha. Madhyayugin nava-vaishnav aandolan ke praneta Sankar Dev ne vaishnavvad naamak hindu dharm ke akeshwarwadi rup ka prachaar kiya aur IletIlet par kshatrap ke rup mein jane wale mathon aur dharmonpadeshon ki sthapana ki. Jiske bad yeh deep jaldi hi in kshatrapon ki sthapana ke sath vaishnavvad ka pramukh kendra ban gaya. Bata de Majuli deep ko kabhi Ratnapur ke naam se bhi jana jata tha jab yeh sakhtishali Chutiya samrajya ki raajdhani tha. Angrejon ke aane ke bad, 1947 mein Bharat ko aajadi milne tak Majuli angrejon ke shasan mein raha. Swatantrata praapti ke bad 2016 mein ise duniya ke sabse bade nadi deep ke rup mein maanyata prapta hyi. Lekin ab kaha ja raha hai ki vishay mein aur bhi bade bade nadi deep hai.

Majuli ka mausam

Majuli ke mausam ko aap apriya keh sakte hai. Barshat ka samay kafi lambe samay tak rehta hai. Yeha garmi bhi khub padti hai aur mausam mein kafi umas rahti hai. Halaaki thand ka mausam kafi aaramdaayak hota hai aur Majuli ghumne ke liye kafi acha mana jata hai.

Majuli deep mein kaise jaye

Majuli keval pani se ghire hone ke karan ak deep nahi kehlaata, balki aisa bahut hi batein hai jo vastav mein use ak deep banati hai aur inhi mein se ak hai yaatayaat ka saadhan. Majuli tak pahuchne ka akmatra rasta hai pheri, jo pidhiyon se is deep ko bahari duniya se jode hye hai. Logon ka bhi yehi kehna hai ki jaga tak unhe yaad hai weh is pheri ke alawa anya kisi bhi marg ke baare mein nahi jante.

At last

Toh dosto yeh tha aaj ke topic Majuli deep ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai assam ke Majuli deep ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also Read..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *