Cache kya hai ? | cache aur cookies ki kaam and cache, cookies remove kaise kare ?

Cache kya hai ? | cache aur cookies ki kaam and cache, cookies remove kaise kare ?

Aj ke is post par humne bataye hai internet browse karne se jo cache aur cookies history jama hote hai uske bare me, sayed apke man me bhi yeh sawal aya hoga akhir yeh cache aur cookies kya hote hai iske kya kaam hai toh dosto is post ko end tak read kijiye apko jankari mil jayega cache aur cookies kya hai aur cache, cookies ko remove kaise kare apne browser se 

Cache aur cookies kya hai ?

Cache memory hai jo ki apne phone aur computer ki memory se hi istemal hota hai. cookies ek data store ke liye hote hai browser me rehta hai jiska kaam hai users ki data ko store karke rakhna. apne kounsa website visit kiya kispar kya search kiya voh sare history cookies par store karte hai.

wese hi cache memory bhi yehi hai manlijiye apke phone me koyi app hai uske andar jo data rehta hai uske bar bar load krne ke waja jo data hamesa same rehta hai uske cache memory par store krte hai.

Cache aur cookies ki kaam ?

Koyi website jab ap visit karte ho uske data jab tak load nahi hoga tab tak apke mobile par show nahi hoga isiliye website ki data ka kuch chije cache aur cookies par store rehta hai. 

jaise koyi bhi site par ap regular visit karte hai toh us site ka jo logo, site ki design aur bhi kuch chije hai jo ki roj roj change nahi hota hai voh sare chije cache memory par store hote hai. 

uske bad ap jab voh website par visit karte hai toh apko thoda jaldi jaldi load ho jati hai kyu ki us site ka kuch data apke browser mein pehle se hi load rehta hai.


Cache aur cookies remove kaise kare 

Cache remove karne ke liye 2 method hai sabse pehla wala hai chrome browser ki right side me upar three dot par click karke settings pe jana hai uske bad scroll down karke advance par click krke Clear browsing data par click karne ke bad apko clear data option ayega usse ap clear kar sakte ho.

Method 2 ap shortcut use kar sakte ho browser me japa pe url rehta hai udhar yeh type kijiye chrome://settings/clearBrowserData uske bad enter karne se apko direct clear data ka option aa jayega

Final word: I hope apko jankari mil gaya Cache aur cookies ke bare me aur cookies cache kaise remove kare. kuch Questions hai to ap comment ke jariye jarur puche 

Toh mitron apko yeh post pasand aya is post ko social media par jarur share kare. hamare post read karne ke liye apka Dhanyawaad

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *