CSC kya hota hai ?|Iska benefits kya kya hai?

Toh dosto aaiye aaj jante hai CSC kya hota hai, csc ke madad se hum kya kya kar sakte hai or csc id kaise milenge, CSC ke full form Common services center, customer service center 2 se adhik full form hai.

CSC kya hota hai ?

common service centre isse aap samj gaye honge ki yeh grahoko seva karne ke ek prakriya hai, yani ki aap csc id lekar iske madad se kafi sari subhidaye aapne customer ko de sakte hai jaise ki Insurance, bill payment, rail ticket, flight ticket, iske alawa bhi online goverment subhidaye jaise birth certificate, death certificate, driving licence or jitne online govt. services hai aap CSC id portal ke andar se kar sakte hai.

Iska benefits kya kya hai?

CSC ke benefits yeh hai ki CSC ka matlab he VLE entrepreneur matlab CSC id apka ban jane ke bad aapke village ke aap mukhya udhamkrta ban jate ho iska sabse bada benefit yeh aap apke area ke logoko online seva ke liye kafi madad kar payenge.

Aagar aap csc id lete ho to grahoko services dekar munafa bhi kama payenge, jaise flight ticket book karke denge commission milega, insuranch kar denge toh bhi commission milega har suhida se apko commission (munafa) milega jo jo aap apne grahok ko subhidaye denge.

CSC ID milega kaise ?

Toh aap csc ke bare me janne ke bad apka mann me yeh sawal jarur aaya hga ki CSC id kaha se kaise milega ?, kuch din pehle kafi ashan the csc id milna filhal thoda muskil hua par numumkin to nahi niche steps follow kare

Step :1 sabse pehle register karne ke liye csc register website me jana hai https://register.csc.gov.in/

Step: 2 website me jane ke baad apply option par click kare fir new registration par click karna hai.

Step: 3 uske bad 3 applicant type select kare jaha rahega VLE, SHG, RDD

aagar aap Individual hai toh VLE registration select kare, yadi aapka group hai SHG select kare

select karne ke bad mobile number dale captcha fil kare.. uske bad naya website khulega usme required fill karne ke bad 1499 course ke liye pay karna hai.

TEC certificate ke liye http://www.cscentrepreneur.in/register visit kare

Important and fraud se bache

kafi log fraud me par chuke hai isiliye aapko kuch bate ko dhyan rakhna chahiye jiise aap ke sath fraud na ho.

  • 1. aap csc ke liye kisi bhi website me registration na kare sirf official site se hi register kare..jo ki .csc.gov.in yeh hai, or register link hai https://register.csc.gov.in/
  • 2. agar koyi byakti apse paise mange csc id dilane ke liye toh na de kyuki yeh bilkul free hai (han upar jo step bataya unme course ke liye amount dena hga jo ki certificate milega.

Last word:

to dosto yeh thi chota sa jankari CSC ke bare mein, asha karta hoon aap jan gaye CSC kya hota hai or iske fayde.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also read.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *