Facebook account permanantly delete kaise kare | How to delete facebook account permanantly

Hi dosto, kya apko bhi Facebook account pareshan kar rha hai ap bhi Facebook account deactivate kr dena cahte hai. Agr ap dund rahe hai ki FB I’d ko band kaise kare, Facebook account remove krna hai toh is post par swagat hai. 

aj hum janenge ke Facebook account ko permanantly kaise delete kiya jaata hai yaane facebook account ko hamesha ke liye band kaise kiya jaata hai. Agar aap bhi apna Facebook account hamesha ke liye band krna chahte hai to is post ko end tak zaroor read kijiye apko poori jankari details me images ke sath mil jaayegi. Yeh sare swalo Facebook account kaise remove kare, Facebook I’d ko delete kaise kare, hamesa ke liye Facebook account deactivate kaise kare! Ka jawab is post par. 


Facebook account remove kaise kare

Facebook Account Permenently Detele krne ke liye kya kare

Facebook Account ko facebook se permanantly delete krne ke liye kuch steps ko follow krne hote hai. Is process ko krne ke baad aap hamesha ke liye apne account ko facebook se permanantly delete kar paaoge.

Step 1 : Sabse pehle apke paas facebook account hona zaroori hai.

Step 2 : Ab apko facebook pe apne jis bhi Id ko hamesha ke liye delete krna chahte hai uska password daal kr login karna hai.

Step 3 : Facebook id me login hone ke baad Ab apko corner pe 3 dots pe click krna hai.


Step 4 : 3 Dots pe click krne ke baad apko niche scroll krna hai jahan apko Setting And Privacy ka option milega jispe apko click krna hai.



Step 5 : Uske baad apko Scroll down krte rehna hai aur apko Your Facebook Information naam ka Label dikhega jahan pe apko Account Ownership And Control pe click krna hai.



Step 6 : Ab aapko Deactivation and Deletion wale option pe click krna hai.




Step 7 : Ab apko 2 options milenge jisme apkp Delete Account wale option pe click krna hai. 



Step 8 : Ab apko Blue button pr click krna hai jisme likha hoga Continue to Account Deletion



Step 9 : Ab apko wapis ek baar Delete Account par click kr dena hai.



Step 10 : Ab apko apne Id ka password daalna hai. Taki jo process apne kiya hai usko facebook confirm kar sake. Aur Continue pe click kr dena hai.



Step 11 : Continue pe Click krne ke baad apko wapis ekbaar Delete Acount pe click kr dena hai.



Step 12 : Congratulatuons, ab apka account Permanantly delete ho chuka hai. Enjoy….!!

Note : Apko agar apka account wapis chahiye to apko 30 din se pehle is process ko cancel karke login krna hoga nahi to apka id hamesha ke liye facebook se hata diya jaayega. Kyunki 30 din baad aap ke account delete krne ki process chalu ho jaayegi. Uske baad aap chah kr bhi is process ko rok nahi paaoge aur na hi apne delete hue facebook account ko wapis nahi paa sakoge. To ye process soch smajh ke kijiyega 

Asha krti hun apko aaj ki ye post pasand aayi hogi aur aap jaan gye honge ke facebook account ko facebook se permanantly kaise delete karte hai.

Agar apko knowledge finder ki ye post achi lagi ho to isko apne friends aur family members ke sath share kare. Apko post se related koi sawal ho to comment zaroor kare.

Aise hi Tech tips aur tricks ke notifications ko pane ke liye humare website www.knowledgefinder.in ko follow krna aur humare facebook page ko like krna ba bhule. Apka ye post read krne ke liye bahut bahit dhanyawad.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *