History of Apple IPhone in Hindi

apple iphone ke bare mein, apple brand history in Hindi

Namaskar doston aaj is post ke jariye Apple IPhone ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap IPhone ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

IPhone kiya hai

IPhone Apple ke dara banaya gaya smartphone hai jise Computer, I pad, Digital camera aur cellular phone ki saari khubi ko jod kar ak sath banaya gaya hai. IPhone IOS operating system par kaam karta hai jo dusre mobile ke operation system se bilkul alag hai. Apple company ke malik Steve Jobs ne aapna pehla IPhone June 2007 mein launch kiya tha. IPhone ko launch kar Apple company ne duniya bhar mein tahalka macha ke rakh diya tha yeh pehla smartphone tha jisme tauch screen ke interface ki suruaat ki gayi thi. Iske bad se hi tauch screen ka idea market mein sabse jayada lokapriya ho gaya.

Apple ne aapne pehle IPhone ke release karne ke 5 mahine mein hi 13 million phone market mein beche the. Iski sankhya badkar 2010 mein 17 million tak pahuch gayi jiska smartphone ki duniya mein ak record ban gaya tha. Fir saal 2011 mein Apple ne yeh ghoshna ki ki unhone kareeb 100 million smartphone ki salling kar li hai, IPhone ke app store mein 3.2 million app available hai jisme kuch free aur paid hai.

IPhone ak smartphone hai lekin computer ke rup mein bhi istemaal kiya ja sakta hai. Kiuki computer ke sabi feature ko is phone mein daalkar banaya gaya hai, is smartphone mein internet bahut tej progress karta hai jiski madad se internet par hone wale kaamon ko bahut teji se kar sakenge.

IPhone ki sabse badi khaasiyat yeh hai ki isko koi hack nahi kar sakta Android aur Microsoft ke mukable IOS jayada surakshit hai, kiuki Apple ke sabi device par secure par khaas dyan rakha jata hai.

IPhone ka Itihaas Apple History in Hindi

Apple Inc. ak American company hai. 29 June 2007 ko pehla IPhone launch kiya. Parantu Apple ne saal 2004 mein IPhone banane ka vikas karya suru kiya tha. Tatha pehla IPhone ko launch karne bad 22 deshon mein IPhone 3Gs jaari kiya tha. Apple Inc. dara IPhone 3Gs mein 3G network support joda gaya. Jisse web browsing karte samay internet speed behtar ho sake. Iske sath hi IPhone 3Gs mein behtar hardware, badi display resolution tatha front camera bhi uplabdh kiya gaya. IPhone 4S mein 3Gs ke mukable behtar hardware tatha Voice Assistant feature ke sath bajar mein launch kiya gaya. Saal 2013 mein Apple ne IPhone 5S launch kiya. Jisme 4S ke mukable behtar hardware faction tatha fingerprint rider feature ko joda gaya tha.

Isi prakaar agle saal IPhone 6S ko launch karne ke bad 2016 mein IPhone 7 tatha 7Plus launch kiye gaye jo kafi charchit hye. Kiuki IPhone 7 mein uccha graphic, behtar system tatha Water Resistance suvidha di gayi. Tatha iske bad hali mein IPhone 13 tatha 13pro max launch kiya gaya jo kafi ache hai.

IPhone ki Popularity

Agar IPhone ki popularity ke bade mein bat kari jaye to, IPhone sabse popular phone hai. Jinme se 40% is phone smartphone user United Status mein upyog kiya jata hai. Is IPhone device mein high speed processor Intel IOS hai. Jo ki bahut hi superfast hai. Yeh Apple ka IPhone bilkul bhi hang nahi hota hai. Yeh dekhne mein bilkul hi chota dikhai deta hai par yeh bahut hi kaam ke hote hai.

IPhone mein internet sabse fast access kar sakta hai. Jayada tar bade-bade officer data security ke liye IPhone ka use karte hai. Kiuki iski khaasiyat yeh hai ki yeh phone ko koi bhi hack nahi kar sakta. Isiliye security ko dekhte hye computer features aur high internet speed support karne ki vajah se iski keemat bahut hi kafi jayada hai.

At last

Toh doston yeh tha aaj ke topic Apple IPhone ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai IPhone ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also Read..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *