HTTP and HTTPS ke bare main kuch jankari!

About application layer protocol HTTP and HTTPS in Hindi!

Dosto kaise ho aap sabhi? Asha karta hu ki aap sabhi asse hai.

Dosto aaj hum internet ke zamane main aa gaye hai. Internet ke bina hum aaj chal nahi sakte hai. Internet aaj hume bahut age le aya hai.

Aaj hum jo bhi kaam karte hai wo sabhi internet ke badaulat hi ho pate hai. Internet ne hamara jibon asan bana diya hai.

Internet main hum jo bhi kaam karte hai wo kaam hamara asani se ho jate hai, lekin internet working ke bich bahut sara process hote hai jin process ke wajah se hum internet ke dwara kaam kar pate hai.

Internet use ke bich ek bahut hi important networking protocol kaam karta hai jin protocols ka naam hai HTTP and HTTPS.

To dosto aiye is post par hum jante hai ki HTTP and HTTPS kya hai? HTTP and HTTPS ka full form kya hai? ye sab ke bare main.

HTTPS and HTTP full form:

HTTP ka full form hai Hypertext Transfer Protocol or HTTPS ka full form hai Hypertext Transfer Protocol Secure.

HTTP or HTTPS kya hai?

HTTP or HTTPS ek networking protocol hai, jo application layer protocol ke andar ate hai, jo hum hamesha use karte hi hai web browser use karte waqt.

HTTP kyu use karte hai?

Hum jab kuch web browser par type karte hai or search karte hai tab hume google seacrh enginee ke dwara hum us search kiya huwa cheez ka result pate hai.

Hum jab web browser par search karte hai tab hum request karte yani ki hum search kiya huwa cheez ke liye request karte hai.

Jab hum request karte hai tab hamare request ko ek cheez response karte hai, jo hamare request ko response karte hai wo hote hai server.

Hum server ko request ek cheez ke through bhejte hai wo cheez hai HTTP. Hum HTTP ke dwara server ko request karte hai or server hume response dete hai.

HTTPS hum kyu use karte hai?

Jab hum HTTP use karte hi hai tab hum kyu HTTPS use karte hai, ye ek bahut bada sabal hai ? To aiye ye bhi hum jan lete hai.

HTTPS ke full form se hi pata chal jata hai ki HTTP ke jagah hum HTTPS kyu use karta hai.

HTTPS hai HTTP ke secure version hai. Jab hum web site par apna information deta hai to agar wo web site HTTP ka hai to wo information hack hone ka chance rehta hai.

Lekin hum jab HTTPS use karte hai tab hume apne information hack hone ka chance kom rehta hai, kyuki HTTPS main information ko encrypt kiya jata hai.

last word:

Toh dosto yeh tha HTTP or HTTPS ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila HTTP or HTTPS ke bare main ke bare mein.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Ye bhi padhe:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *