JioMart App ke bare mein puri jankari

JioMart App ke bare mein puri jankari, yeh app mein kya milti hai, jiomart kisne kab banaya hai ?

Namaskar doston aaj is post ke jariye Online shopping platform Jio Mart ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Jio Mart ke bare mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

JoiMart kiya hai, yeh kab aur kisne banaya hai

Mukesh Ambani ki company Reliance Industry ne jab saal 2015 mein Jio ke taur par telecom sector mein kadam rakha to bahut saari companiyaan market se bahar ho gayi aur market par Jio ka kabja ho gaya iske bad Jio Fiber aaya aur woh bhi bahut safal raha Jio aur Jio Gigafiber ki safalta ke bad Reliance Industries Limited ki najar E-Commerce ke business par padi hai aur iske liye Mukesh Ambani ne Jio Mart ko launch kiya.

Jio Mart ak online shopping portal hai aur jo launch kiya gaya hai grocery products ki online karobar karne ke uddeshy se. Arthath Jio Mart seva upbhoktaon ko har jaruri dainik rup se upyog ki jane wali vastuon ko ghar bethe uplabdh karayegi. Grahak sidhe aapne paas restaurant ya dukaan se app ke madhyam se saaman kharid sakte hai. Yeh ak online grocery delivery seva hai jiska swaamitv Reliance Jio ke paas hai. Yeh grahakon ko muft home delivery pradaan karta hai. Jio Mart par order karne ke liye nyamnatam mulya ki aavashyakta nahi hai aur bina kisi pareshaani ke return bhi kar sakte hai.

Jio Mart se saaman order kaise kare

Jio Mart se kisi bhi saaman ko maangane ke liye aapko sabse pehle Jio Mart app ko install karke uspar account banana hoga.

Iske bad aapko jo bhi saaman Jio Mart se order karna hai use pasand kare. Iske bad Add To Card kar aapne order ke liye payment kar de ya Cash On Delivery Book kar le. Aapka order conform hone par aapko sms dara bata diya jayega. Yadi aapko kisi bhi tarah ki samshya aa rahi hai to aap 7000370003 par WhatsApp kar sakte hai.

Jio Mart App download kaise kare

Jio Mart app ko aap jio ki official website se download kar sakte hai registration karne ke liye. Wahi aap chahe to aapne phone ke liye JioMart aap ko uske Operating system ke hisaab se download kar sakte hai. Yani aap to Android app download kar sakte hai ya iOS App. Ya fir aap direct Google Play store se bhi download kar sakte hai.

At last

Toh doston yeh tha aaj ke topic Jio Mart app ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai Jio Mart ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also Read…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *