MAHARASHTRA STATE BOARD OF SECONDARY: External Exam Form – 17 no. form kya hota hai | 17 no.form kaise bhare

Hello dosto, Toh kaise hai aplog asha karta hu badhiya honge, Firse ekbar knowledge finder Blog par aapka swagat hai, Jaise apko pata Hoga humne is blog me education related jankariya upload krne laga hai hum pichle post par bataya tha SSC kya hota hai |SSC ki Puri jankari Diya tha.

Vaisa hi aj or ek Student ke liye jankari lekar Aaya hai, aaj Ham 17 number form ke bare mein janne Wale Hain. agar aap bhi student hai aap fail ho chuke hain ya phir aapke Kareeb Mein gyapan chuka hai hi to aap 17 number ka form Ka istemal Karke apni exam de sakte hain.

Bahut Sare students Aise hote hain jinko 17 number form ke bare mein Maloom Nahin hota hai to Chaliye Ham Jante Hain 17 number form kya hota hai, 17 number form ko kaise fill Kiya jata hai, aur 17 number form ko fill karne ke liye kya-kya conditions hoti hai.

17 no. form kya hota hai

17 number form Ek Aisa form Hai joki Maharashtra Board mein istemal kiya jata hai man Lijiye aapane 10th pass kar li aur aap usmein fail ho chuke hain to 17 number form Bhar Ke Apne re-exam kar sakte hain vaise Hi Agar aapane 11th standard Nahin ki aur aapko 12th standard karna hai to bhi aap 17 number form Ka istemal Karke apni Aage Ki study hai usko aap kar sakte hain.

Magar yah internal Nahin hota hai yah external Hota Hai   17 number form ko specially bolo fillup karte hain Jin ki padhaai chhut Jaati Hai Ya phir padhaai Mein gap pad jata hai ya vah fail ho Jaate Hain To re-exam karne ke liye 17 number ka form Ek Achcha option hai jismein aap apni Wapas se revision Karke exam de sakte hain. Chaliye Jante Hain 17 number form ko kaise Bhara jata hai.

17 no. Form kaise Bhare

Bahut students Aise hote hain jinko pata nahin Hota ki 17 number form Kaise bhare 17 number ka form bharna bahut hi Aasan Hota Hai aur yah form filling aapko offline Nahin Milegi aapko online hi karna padega aap Chahe to aap ki Khud Ke computer mein bhi isko kar sakte hain aur Cybercafe Se Bhi Karva sakte hain 17 number form bharane ke liye Kuchh step se jinko aapko follow karna hai ise Jante Hain 17 number ka form Kaise Bhara jata hai  

?17 number form bharane ke liye sabse pahle aapko Maharashtra board ki website open karni padegi Uske bad aapko apna form fill karna hai.
Website link : http://form17.mh-hsc.ac.in
?aise hi aap ka form fillup ho jaega Uske bad aapko next per click karna hai aur aapke Samne submit ke option aaenge vahan per aapko aapka photo, 10th-12th certificate aur leaving certificate upload karna hai

? yah sab submit karne ke bad aapko Ek niche aur Chhota Sa submit ka option dikhega vahan per aapko click kar dena hai Jaise hi aap click Karoge aapke pass Ek PDF file a Jayegi usko aapko download karke print out nikal lena hai

? jo aap print out nikal loge uske sath aapko aapane jo documents unko submit kiye the online Vahi documents Ki xerox aapko PDF ke sath attach kar deni hai aur is ko Apne school/ collage mein submit kar dena hai
?bus aapko itna hi process karna hai aur uske bad Jab date Aaegi use date per aapko jakar apna exam de dena hai  

Points To Note
17 number form agar aap Bhar rahe hain to aapko bahut sari chijon Ka Dhyan Rakhna hai agar aap yah sab chijen mix kar doge to aapko bahut problem a sakti hai to Chaliye Jante Hain 17 number form Bharte Samay kin Baton Ka Dhyan Rakhna jaruri hai

?Aadhar Card school leaving certificate aur photo Apne Sath aap ko Rakhna hai.

?section number 2 / 2 to main aapko Jab Bhi Koi document upload karna hai usko scan Karke a PDF JPG JPG format Mein Hi upload karna hai Iske alava koi bhi document format mein aapko upload nahin karna hai
?form bharane ke bad Jo PDF Ban Jaega usko aapko Apne school ya FIR college mein Jama karna hai aur Unki permission leni hai. Agar aapka padhaai mein bahut jyada gap Hua Hai To aapke pass gap certificate Hona chahie  

?agar aap disable person Hai jaise ki aap physically disable hai to aapko Uska Bhi certificate aapke paas Rakhna Hai uski xerox Karke rakhni hai aur vah certificate compulsory aapko form Mein dena hai yah attach karna hai. Yah physical disability ka certificate aapko Kisi bhi authorised Hospital Se Mil Jaega aur use per Aapki disablity Ki Jo percentage Hogi usko board wale separately approve Karenge aur aap ke Jo schedule Hai vah board ke dwara declared Honge

?aapko aapke phone number detail ya FIR email id Jarur dalna Hai Kyunki agar aap form Bharte Samay Koi galti kar dete hain ya FIR aap ke form bharane Mein Koi issue a raha hai to aapko vah call Karke Bata Sakenge agar aap apni yah wali detail Nahin film Karoge To aapko pata nahin chalega ki aap ka jo form Hai vah approve online hua hai ya nahin Hua Hai.

?agar aap 10th class ke liye 17 number ka form Bhar rahe ho to aapko 1000 rupees registration fee aur 100 rupees processing fees Lagegi. Aap 12th class ke liye 10th board exam ke liye 17 number ka form Bhar Rahe ho to aapko 500 rupya registration fee aur 100rupya processing fee Lagegi. In simple 1100 for 10th exam aur 600Rs for 12th board exam

?Agar aapko aapke form Mein Kuchh change karne ho to Aadhar number ke bad 01 lagakar Wapas form Bhar De.
For example apka adhar no. 555566667777 hai to apko 5555666677701 likhna hai.
? online form ko fill up karte samay aapko Koi Bhi pareshani Aaye To uske liye aapko helpline number Diye gaye hain aur yah helpline number Subah 10 baje se Sham 6:00 baje tak available hote hain aap Jab Chahe in numbers per call Karke apni problem ka solution Pa sakte hain
Helpline no. : 020-25705208/ 257025207

Last Words

Toh dosto, yah Thi Jankari 17 number form ke bare mein Asha Karti hun aap join Gaye Honge ki 17 number form kya hai 17 number form ko kaise Bhara jata hai aur 17 number form ko bharne ke liye kin kin Baton Ka Dhyan Rakha jata hai.  

Agar Aapko Hamari yeh post acchi lagi ho to isko Apne friends aur family ke sath Jarur share Kijiye aur aise hi knowledgeable post notifications ko pane ke liye Hamare website Knowledgefinder.in aur Hamare Facebook page ko like karna na Bhule.

Aapka Hamari aaj ki post read karne ke liye bahut bahut dhanyawad Milte Hain next post Mein tab tak ke liye bye and take care.

2 thoughts on “MAHARASHTRA STATE BOARD OF SECONDARY: External Exam Form – 17 no. form kya hota hai | 17 no.form kaise bhare

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *