Mobile ke system update kaise check karte hai?

Dosto aaj hum bahut hi age badh rahe hai. Hum aaj kaal digital jamane mein aa gaye hai. Jiske karan hamara sara kaam digital system ke badaolat hi hota hai.

Hamare jo log hai unme se jyadatar log mobile phone use karte hai, subah se lekar sham tak sabhi mobile pe hi busy rehte hai.

Lekin bahut sare log aise bhi hai jinko mobile kuch system ke bare mein malum nahi hote hai.

Mobile ke system matlab mobile ke jo updates ate rehte hai wo sab ke bare mein, ye sab kasie check karte hai ye sab ke bare mein unko pata nahi hote.

To dosto aiye is post par hum jante hai ki mobile ke system updates kaise check karte hai, mobile updates kaise karte hai ye sab ke bare mein.

Mobile ke system update kaise check karte hai?

Mobile ke system update check karne ke liye pehle aapko mobile ke settings par jana padega.

Waha jane ke bad aapko ek option dikhai dega jaha likha hota hai system, waha pe aapko click karna hota hai.

Waha click karte hi aapke screen par kuch option aa jata hai jaha ek option hota hai System update ka.

Us option par aapko click karna hota hai or aapka agar koi updates ata hai to waha dikhai deta hai.

Mobile ke System update kaise kare:

Mobile ke system update karne ke liye pehle aapko mobile ke settings par jana hota hai.

waha jane ke bad aapko niche ek option dikhai deta hai, jo option hai system ka.

Is option par click karne ke bad aapko aapke screen par system update ka ek option aa jata hai, jaha aapko click karna hota hai.

Waha click karte hi aapke screen par update version aa jata hai, or us new version par aapko click karna hota hai.

Waha click karte hi aapka system update hona shuru ho jata hai.

Update karne ke liye aapke data aaply hota hai or aapko mobile data ki jarurat hota hai.

Agar app chahe to update thodi der ke liye pause karke rakh sakte hai, iske aapko uske niche ke pause option par click karna hota hai.

last word:

Toh dosto yeh tha mobile system update ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila System update ke bare mein.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Ye bhi padhe:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *