Paytm First kya hai ? | Paytm first ki fayde

Paytm to aap sab log use karte hi honge aap mai se bhut se logo ke pass paytm account to hoga hi. Or haal hi mai paytm ne aapna Paytm payments bank open kiya hai jisko aap bahut easliy open kar sakte hai jo ki aapke bikul real bank account ki tarah hota hai. 

Jismai aapko ek virtual Debit card milta hai. Fir cahe to aap usko order bhi kar sakte hai. Paytm ka use aaj kal har jagah or har field mai kiya ja raha hai. Phele jab paytm nahi hota tha tab hum sab kitna cash pocket mai or purse mai rakhte the jo ki itna secure nahi tha. Par jab se paytm aaya hai tab se jadatar log cashless ho gaye hai patym ke ek or khass feature ke baare mai aaj apko batane ja raha hu paytm first ke bare me, paytm first kya hai aur paytm first ka kya fayde hai.

 

paytm first kya hai full details

Kya hai paytm first ?

     Paytm first ek paytm ka new services hai, is paytm first service hai agar aap isko buy karte  hai to aapko bahut sa cashback or free Home delivery ki service provide ki jaati hai jaise ki amazon prime or flipkart plus mai hota hai. Aaye thoda details mai jaante hai isi paytm first ke bare mai.
 
Haal hi mai launch ki gayi yeh service paytm first ki service ko bahut se log use karke cashback kama rahe hai. Paytm first mai apko 12 months ka plan milta hai jaisa ki amazon prime mai milta hai. Paytm first mai bhi aapko amazon ki tarah kuch special offers milege agar ap is paytm first service ko buy karte hai to. Paytm first ko buy karne ke liye apko price 750 rupees payment krna hota hai or jab ki amazon ka 999 rupees hai. 
 


Paytm first ko aagar aap buy karte hai to uske baad agar aap aapne wallet mai 500 rupees per month add karte hai to aapko monthly 30 rupees ka cash back milega 12 months tak yaani ki aapko saal mai 360 rupees ka fayda hoga. Aur bhi bahut se cash back isme apko milte hai jaise ki agar ap koi movie tickets book karte hai per month to aapko 100 rupees ka cashback milega 12 months tak yaani aap is paytm first ke use se movies tickets par 1200 rupees tak bacha sakte hai. Aur bhi bahut se cashback ki options hai jo aap apne paytm aap mai ja kar check kar sakte hai
 
Note : agar apka paytm aap update nahi hai update kar le kyuki paytm first ki options apko sirf updated version mai hi milegi.
 
To dosto yeh thi paytm first ke bare me jaankari asha krta hu ap samaj gaye honge paytm first kya hai aur paytm first ke fayde ke bare me, firbhi agar pako koyi sawal hai toh ap comment kr sakte hai. 

Har din kuch naya janne ke liye knowledge finder blog ke sath judhe rahe, www.knowledgefinder.in ko follow or facebook page ko like kare. Apka bahut bahut dhanyabad hamare post read krne ke liye. 

Yeh Bhi padhe-

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *