Prepaid Or Postpaid Sim me kya antar Hai ?

Sim Card Ka Paryog To aaj Kal Hum Sabhi Log Karte Hain Pr Kya Aap Sim Card Ki Full Form Jante hain Or Kya Aapko Ptaa Hain Ki Sim Card Kitne Types Ke Hote hain Ager aap Nhi Jante To Koi Baat Nhi Aaj Ke Is Post Me Hum Aapko Sim Card Ki Puri Jankari Denge Jaise Ki Sim Card Ki Full Form, Or Sim Card Kitne Types Ke hote hain, Prepaid sim aur postpaid sim me kya antar hai!

Jaisa Ki Hum Sabhi Janate Hain Ki Sim Card Do Parkar ki Hoti hain 1. POSTPAID Sim Card Or 2. PREPAID Sim Card, Fir Chahe Wo Sim Card Kisi Bhi Company Ka Ho Airtel, Jio, Idea, Vodafone Etc. Ye Sabhi Companyia Sim Card Banati hain Or Ye Dono tarah ke Sim Card Banati hain Matlab Postpaid Sim Card Bhi Or Prepaid Sim Card Bhi.

 

SIM Card Ki Full Form Kya Hain? 
SIM Card Ki 2 Full Form hain.
1. Subscriber Identity Module or 
2. Subscriber Identification Module

Sim card ke kitne size hote hai ? What is the size of SIM Card

Sim Card 3 Size se hote hai Nano. Micro Sim aur Normal sim: Normal Sim jo ki ajkal ke smartphone par istemal nahi hote hai Normal sim sabhi purane models phone par lagte hai aur jydatar keypad mobile par lagate hai. Nano Sim card aur Micro Sim card abhi ke sabhi smartphone par lagate hai kuch phone par Micro nano sim ke jagah or kuch me Nano. Nano sim se thoda chota hai micro nano sim.
 
PREPAID SIM aur POSTPAID SIM CARD ME ANTAR

Prepaid Sim :-
Prepaid Sim Me Phle Recharge Karwana Padta hain Uske Baad he Hum Prepaid Sim Card Se Kisi Ko Call Kar Sakate hain. OR Prepaid Sim Card Me Hum Jo Bhi Recharge Krwate Hain Us Recharge Ki Validity Koi Limit nhi Hoti Hain. Prepaid Sim Me Bahut Saare Saste Plan bhi Hote hain. Prepaid Sim Me Hume Kisi Bhi trh Ka Koi Bill Pay nhi karna hain Matlab Prepaid Sim Main Jitna Balance Hoga Hum Utna Hi Use Kr Sakte Hain. Yaha Tak Ki Prepaid Sim Me Agar aapka Balance Khatam ho jaata Hain To Aap Prepaid Sim me 5 ya 10 Rupay Emergency Balance bhi Le Sakte hain.
 
Postpaid Sim Card :-
Postpaid Sim Card Prepaid Sim Card Ka Ek Dum Ulta hain Kyuki Postpaid Sim Card me aap Pehle Internet Or Phone Calls kar skte Ho Iska Bill Baad me Aata hain Jitna Aap Use Kroge Us Hisab Se Iska Bill Aata Hain. Postpaid Sim Ki Ek Nishchit Validity Hoti hain Isme Aapko Monthly Ya Fir Yearly Recharge Krna Padta hain. Postpaid Sim Me Recharge Plan Bahut Jyada Mahnge Hote hain. Is Sim Me Payment krne Ke Liye Credit Card Ki Jarurt Padti hain. Postpaid Sim Me Balance Khatam Hone Ka Koi Jhanjhat he Nhi rehta hain Kyunki Is Sim Me Bill Baad Me Bharna Padta hain.

Last Word:
Toh Dosto Asha karta hu apko pata chal gaya hoga aur jankari mil gaya hai ki Prepaid Sim Or Postpaid Sim me kya antar Hai ? | Sim Card Kitne Types Ke hote hain. Agar aapko is post Pasand Aaya to ise Share Kare kuch sawal hai toh comment par jarur puche aur Hamare site ki latest post pane ke liye Hamare Facebook page ko like kare, Hamare blog ki Bell icon ko press Karen. Knowledge finder visit karne ke liye Bahut Bahut Dhanyawaad.

Yeh bhi padhe-

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *