Similarities between android and web applications in Hindi

Similarities between android and web applications in Hindi, Android application me aur ek Website me Smillarties kya Hoti hai

Hello Friends, Aapka firse swagat hai knowledge finder ke app development series ke post me, Aj Hum Log Discuss Karenge Ki Kya Smillarties Hoti Hai Eak Android Application or Eak Website Mae.

Ajkal Hum Log Dekhtae Hai Ki Appllications Ka Market Bahut Bada Ho Gaya Hai. Inn Applications Ne hum Logo Ki Life Bahut Easy Kar Di Hai.

Ajkal Users Websites Sae Jada Preference Applications Ko Dene Lage Hai. Websites BanaNa Jada Hard Nhi Hota Kyu Ki WordPress Jaise Platform Aise Functionality Provide Karte Hai Jiske Use Se hum Bina Code Kiyae Ya Fir Kafi Less Code Likh Kar Website Bana Sakte Hai. Par Applications Android Ki Ho Ya Fir iOS Ki Wo Puri Coding Sae Hi Developed Hoti Hai.

Toh Aap Logo Ka Jaada Time Na Lete Hue Ajj Main Aapko Applications Kae Components Ke Bare Me Batayunga. Kya Aap Jante Hai Eak Application Mae Bhi Website Ki Tarah Hosting, Backlinks, Webpages, Header, Footer etc… Hotae Hai. Jin Ko Applications Mae Dussrae Name Se Pronounce kiya Jata Hai. So Aj Aap Sabhi Inko Samjhne Wale Hai. Toh Chaliye Shuru Karte Hai.

Similarities between android and web applications in Hindi

Splash screen kya hai example ?

Splash Screen: Aap Sabhi Nae Facebook Ki App Use Ki Hogie. Jab Bhi Apni Facebook Ki App Open Karte Hai  Toh Sab Sae Phlae Eak Screen Appear Hotie Hai. Jis Par Facebook Ka Logo And Neechae Loaders Dots Hotae Hai. Uss Screen Ko Basically Koi Bhi Website Developer Ya Fir Non Technical Person Loading Screen Kehta Hai. But Actually Mae Uss Ko Android Applications Ki Technical Language Mae Splash Screen Kehte Hai. 

Splash Screen 

Activity & Fragments: Jis Tarah Sae Koi Bhi Website Collection Hoti Hai Web Pages Ka. Ussi Taraha Sae Eak Android Application Collection Hoti Hai Activities & Fragments Ka. Even Jo Aap Upper Facebook Ki Splash Screen Ki Pic Dekh Rahe Hai Yeh Ek Activity Hai. Jo Main Difference Hota Hai Activity & Fragments Mae Wo Yeh Hota Hai Ki Jo Part Apn Ko Application Mae Common Rakhna Hai Wo Hum Activity Mae Banatae. And Jo Part Hum Ko Change Karna Hai Time to Time Ya Fir User Preference Par Wo Hum Fragments Mae Bana Tae. Ayiae Issko Nechae Di Hui Pic Kae Examplae Sae Acchi Taraha Samjhtae Hai. 

Example of Activity & Fragment

App Nae Always Dekha Hoga Jo Facebook Ka Top Header Hai Jisae Hum Android Application Ke Language Mae “Action Bar” Bolte Hai Wo Always Common Rehta. And Wo Kabhi Change Nahi Hota. Aur Yeh Action Bar Always Appear Rehti. Chahe Aap News Feed Section Mae Ho, Ya Fir Friend Requests Section Mae Ya Fir Notification Section Mae. So Jo Cheze Common Rehti Wo Design Hottie Activity Mae. And Change Hoti Rehti Like Our News Feed, Notifications Wo Design Hotie Fragments Mae. 

Intents: Jaisae Websites Mae Eak Web Page Sae Dussrae Web Page Mae Janae Kae Liyae Apn Link Daltae Hai Uss Webpage Ka. Content Kae Middle Mae Ya Fir Eak Button Kae Backend Mae. Ussi Taraha Sae Jab Apn Ko Eak Activity Sae Dusri Activity Par Jana Hota Hai Application Mae Jab Hum Use Kartae Hai Intents. 

Android Applications Mae Intent 2Types Ka Hota Hai. (1) Implicit Intent and (2) Explicit Intent. 

Explicit Intent: Iss Taraha Kae Intent Ko Hum Jab Use Kartae Hai Jab Hum Ko Apni Android Application Mae Hi Eak Activity Sae Dusri Activty Mae Jana Hota Hai. 

Implicit Intent: Iss Tarah Kae Intent Ko App Backlinks Kae Concept Sae Samajh Sakte Hai. Jaisae Hum Websites Mae Backlinks Create Kartae Jo Hum Ko Ek Website Sae Dussrae Website Kae Content Mae Redirect Karta. Ussi Taraha Sae Kuch Explicit Intent Bhi Work Karta Hai. Example: Jaise Aap Logo Ne Dekha Hoga Jab Apn Log Amazon Ki Mobile Application Use Kartae And Contact Us Mae Option Ata “Mail Us” Jab Apn Uss Option Par Click Kartae Toh Apn Ko Wo Redirect Kar Deta Hai Gmail App Par. Jaha Par Apn Mail Likh Kar Amazon Ko Send Kar Sakte. Iss Jagha Par Use Hota Hai Implicit Intent.   

Admob: Jaisae Websites Mae Add Lagane Ke Liye Google Adsense Use Hota. Ussi Way Mae Android and iOS Application Mae Add’s Lagane Ke Liye Google Admob Use Hota Hai. Bass Dono Mae Eak Difference Hai. Google Adwords Ke Liye Uska Approval Lena Hota Hai But Google Admob Mae Aise Koi Jarurat Nahi Hotie. 

App Store Optimization (ASO): Jis Tarah Sae Websites Ko Google Par List Kara Ne Ke Liye Search Engine Optimization Karna Hota Hai. Ussi Tarha Sae Kisi Bhi Mobile Application Ko PlayStore Mae Rank Kara Nae Kae Liyae ASO Karna Hota Hai. 

ASO Ki Main Terms Hoti Hai –  App Short, Long Description, App Video, App Screenshots, App Name, App Size etc.

Dependencies: Jaisae WordPress Mae Plugins Hotae Hai Jo Apkae Work Ko Easy Banate Hai, Additional Functionalities Detae Hai. Ussi Taraha Sae Dependencies Work Karti Hai Android Applications Ke Liye. But Dependencies Aap Ke App Ka Size Bhi Increase Kar Deti Hai. Because Eak Dependecy Kae Andar Bahut Sarri Functionlites Hotie Hai. and Yeh Jaruri Nhi Ki Appko Dependency Ki Har Eak Functniolity Ki Jarurat Ho. Isley Dependency Ko Bahut Dhyan Sae Choose Karna Padta Hai. Aur Haa Dosto Dependency Ko Bhi Implement Karnae Kae Liyae Android Mae Code He Karna Padta Hai. 

Google Play Console: Iss Ko Aap Iss Tarha Sae Samajh Sakte Hai Ki Yeh Hai Aapke Android Application Ka Hosting Platform. Ji Haa Dosto Jaisae Website Kae Liyae Hosting Leni Hoti Hai Ussi Tarha Sae Android Applications Kae Liyae Google Play Console Account Create Karna Hota Hai and One Time Fee $25 Pay Karna Hota Hai. After That Aap Kitni Bhi Applications Host Kar Sakta Hai Play Store Par Iskae Use Sae. Agar Aapki Application Google Kae Standards Ko Follow Karti Hai. and Google Unn Applications Ko Approval Dae Deta Hai. Par Agar Aap Kuch Bhi Google Ki Policy Ko Cheat Karnae Ka Try Kartae Ho and App Google Kae Survillance Par a Gayae Toh Possible Hai Google Apka Account Ban Kar Dae. Iss Google Play Console Sae App Apnae Android Applications Kae Analytics, Admob, Releases etc.. Sab Par Control Rakh Sakte Ho.

Last word

Friends Aur Iss Ke Saath Mai Iss Article Ko Yahi wind-up Karta Hu. Umeed Hai Aap Sab Nae Kuch New Sikha Hoga.

Aap hamare Knowledge finder ke latest updates pane ke liye Facebook page like kare, Right side par Bell icon ko subscribe kare! ?

“Post Read karne ke liye aur Knowledge finder visit karne ke liye Bahut Bahut Dhanyawad’

Yeh Bhi padhe-

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *