Tubular plate battery vs flat plate battery kounsa best hai

Tubular plate battery vs flat plate battery difference kya hai

Hello, hum sabko aisa confuse jarur hote hai jab hum inverter ke liye battery kharidne jate hai tab dukandar Q krte hai flat battery lenge ya tubular toh hum yeh sochne lagte hai akhir kounsa best hai rahega.

Toh dosto aj ke is post par humne yehi bataya hai Tubular plate battery vs flat plate battery ka difference kya hai, tubular battery best hai ya flat plate battery. tubular best hai toh kis wajah se aur flat battery kis wajah yeh sare sawal ka jawab is post par hai. 

Battery kya hai ?

Batteries kya hai matlab battery yehi hai jisko Home ups, inverter par use kiya jata hai aur automobile , car bagera pe istemal karte hai. battery simple se bat hai yeh ek electronic chij hai jisme charge ke madad se electricity stock kiya jata hai 

Tubular plate battery kounsa hai ?

Tubular plate battery use kehta hai jo battery thoda box badha hote hai aur tubular battery ke andar tube panel use kiya jate hai apko niche aur accha se bataunga bas ab tubular plate battery kya hai yehi janlijiye. Simple bat hai tubular plate battery ucha hote hai.

Flat plate battery kounsa hai ?

Flat battery jo ki pura flat hote hai aur yeh battery nicha hote hai jyda badhe box nahi chota box me hote hai. flat batter ke andar metrial flat istemal karte hai jiska karan battery flat plate kehta hai


flat plate battery vs tubular plate battery mein kya antar hai ?

flat aur tubular ke different yehi hai andar jo chije hai plat negative, positive ke flat hote uska istemal alag alag kiya hai tubular me positive plate thoda badhe hai aur negative dono ka same hai. aur jo flat plate hai usme sara flat hai yani battery ke andar flat hai uske karan use flat battery kehta hai.

fayde ke bat karu to tubular aur flat battery ke fayde barabhar hi hai aisa nahi ki tubular battery 150amp jitna backup dega flat usse kam aisa bilkul nahi hai 150amp ka dono ka backup same hi dega.

tubular battery gharke inverter liye best hai aur flat battery automobile car bagera ke liye jyda best hai.

iska karan yeh hai flat jo battery hote hai uska jo power dene ka shakti hai voh jyda hai tubular battery ke hisab se kyu ki jo car bagera par battery istemal krta hai car start dene ke liye us smay jyda speed power dena padta hai or jo flat battery de pate hai us mamle me tubular battery de nahi pata.

lekin tubular battery ke fayde ke bare me bat kare toh yeh battery long lasting karte hai thoda bahut jyda din jate hai flat battery ke hisab se.

sidha sidhi bat kare home invertar ke liye tubular battery best hai aur car bagera ke liye flat battery

Tubular battery charging technology vs flat plate battery charging technology

Agar technology ke bad kare toh tubular battery jo hai voh latest technology diya hai is battery par charging ka technology fast diya hai, or flat battery purane model ke sath yeh battery jydatar car me istemal hote hai toh iska charging technology bhi alag dia hai.

flate plate battery kharide ya tubular battery ?

Agar apka man me yeh sawal aarha he ki khaide toh kounsa tubular battery ya flat battery toh dosto mera experience se apko suggest krta hu agar ap inverter se ap ghrka computer, fan bagera istemal karenge toh ao Tubular battery kharide iska duration bhi jyda flat battery ke compare me tubular battery ek sath jyda power nahi de pate par iska matlab yeh nahi ki gharpe sahi se chalega nahi jyda power dene ke liye sirf car start ke smay jarurt padta hai car ke liye flat battery hi kharidna hota hai. 

han ap flat battery bhi kharid sakte ho ghar ke liye aisa bilkul nahi ki flat battery chota hai toh tubular battery badha isiliye flat charge backup kam dega aisa bilkul nahi hai jiska jitna mah, amp rahega un hisab se backup dega tubular, flat dono barabr.


Final word:

Asha karta hu apko confuse dur hogaya tubular battery aur plate battery ka difference aur kounsa best hai ap jane gaya honge.

Toh dear post accha laga toh social media par jarur share ke sath hi sath knowledge finder blog ki facebook page bhi like kare. Post read karne ke liye bahut bahut dhanyawaad

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *