Uber App kiya hai?

Namaskar doston aaj is post ke jariye Uber cabs application ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Uber cab ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

Uber kiya hai?

Doston jaisa ki sabi ke sath aisa hota hai ki akshar aapne kamse ghar bahar jana hi hota hai. Fir chahe woh market jana ho, Office jana ho, ya fir kahi bahar ghumne jana ho. To is sthiti mein akshar aisa bhi hota hai ki jab hum aapne ghar se kahi bahar jate hai to often taxi, auto na milne karan samasya ka samna karta padta hai. Lekin jabse Ola cabs aur Uber cab taxi service ayi hai. Uber ak aisi undimmed car service hai, jo aapki IPhone ya Android phone device par upalabdhta application ki madad se aapke liye private drivers upalabdhta karane ki subidha deti hai. Yeh service ak dispatch software ka istemaal karke, aapke sabse najdiki maujood kisi driver ko aapki location tak pahuchati hai. Is service ke jariye aap haanth mein bina paisa rakhe kahi bhi ghum sakte hai, aapke dara kiye jane wale safar ke liye aapko sidhe aapke account se jure hye credit card ke jariye ya fir PayPal account ke jariye bhugtan karne ki suvidha deti hai.

Uber Technologies Inc jise aamtaur par Uber ke naam se jana jata hai, ak American bahurashtriya Ride-Hailing Company hai jo koi prakaar ki sevaye upalabdha karati hai, jinme Food delivery, electronic bike aur scootaron ke sath ak micromobiliti vyavastha shaamil hai. Company San Francisco mein sthapit hai aur duniya bhar mein 785 se adhik mahanagariya shetro mein iska sanchalan kiya jata hai. Iske platform par iske website aur mobile app jariye pahucha ja sakta hai.

Uber cab se kaise business kare?

Uber India hopes bike-taxi service will take it to 200 cities by 2020-end |  Business Standard News

Yaha par yeh to spasht hai ki Uber Cab ke sath business karne ke liye camarahial number ki car ki aavashyakata hoti hai. Lekin isse pehli ki hum Uber business ke liye sahi car ka chayan kaise kare, aapko yeh business suru karne ke liye kina kin dastavejon ki avashyakata hoti hai.

  • Vahan ki RC ki copy ki avashyakata ho sakti hai arthath Uber cab ke sath business karne ke liye aapko vahan ki registration copy ki avashyakata hoti hai. Yadi vahan ki RC kisi aur ke naam se hai to aapko 20 rupee ki stambh paper par notarized noc submit karni hoti hai. Yadi aap nayi car kharidi hai aur aapke paas temporary RC hai to wahi upayukta rahegi.
  • Vahan beema ki copy submit karane ki avashyakata ho sakti hai.
  • Tourist ya anya permit.
  • Driver ki photo ke sath camarahial driver license honi chahiye.
  • Bank detail.

Uber cab kaise book kare?

Uber se taxi book karna kafi aasan hai. Uber cab se koi gadi book karne ke liye aapko niche bataye gaye aasan se step ko follow karna hoga-

  • Sabse pehle aapko Uber cabs app ko open karna hai.
  • Open karte hi aapko iske home page par pickup point milega. Jaha se aapko aapni location ko set karna hai. Jaha aap Uber cabs ko bulana chahte hai. Aur yehi aapko niche where to mein jaha jane chahte uski location ko set kar dena hai.
  • Locatoin set karne ke bad aapko kis taxi ko select karna hai. Uski list aa jayega aap niche dekh sakte hai.
  • Black car
  • Taxi
  • Uber
  • Aap jis taxi ko book karna chahte hai us par click karkar confirm kare
  • Now yeha aapko payment karna hai. Aur add payment option par click kare
  • Yeha debit card, credit card, paytm cashless payment aadi ke option milenge. To jis tarah se bhugtan karna chahte hai use select kar bhugtan kar de.

At last:

Toh doston yeh tha aaj ke topic Uber cab ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai Uber ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Ye bhi padhe:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *