Umananda Temple ke bare mein

About Umananda Temple in Hindi, umananda temple kaha par hai

Namaskar doston aaj is post ke jariye Umananda mandir ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Umananda mandir ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

Umananda mandir ke bare mein

Umananda Temple kaha par hai aur mahatv

Bharat mein Shiv aur Paarvati ji ke koi mandir hai. Koi mandir metro shahar mein hai, to koi gaon mein to koi pahaadon mein magar inka ak mandir duniya ke sabse chote river island Umananda mein hai. Yeh island Bharat ke Assam raajya ke Guwahati shahar mein maujood Brahmaputra nadi ke beechon-beech hai. Waise to island par saal bhar touristton ki bheed rehti hai, magar savan, Shivaratri aur navratra le samay yeh bheed dugni ho jati hai. Darasal yeha par Shiv ji ak pracheen mandir hai. Sthaniy logon ke beech mandir ki bahut mahatv hai. Isiliye savan aur Shivaratri ke samay is mandir par utsav manaya jata hai.

Bhagwaan Shiv ke prasiddh aur mahatvapurn mandiron mein se ak hai jo Guwahati ke Maur deep par sthit hai. Mandir ka naam Ahom raja Gadadhar Singh dara “Bhasmakala” naamak pahaad par banaya gaya hai, jo 1681 se 1696 ke beech shasan karta hai.

Pichle dinon mein Umananda mandir ka naam Umanandadevaloi rakha gaya tha, halaki mandir ko 1897 mein vinaashkari dara nasta kar diya gaya tha. Isiliye yeh ak samriddh vyapari dara punarnirmit kiya gaya tha jisne mandir ke antarik hisse ko “vaishnav” naare ke sath ankit kiya tha.

Umananda mandir mein kaise jaye

Yeh mandir Brahmaputra nadi ke beechon-beech hai isliye yeha tak pahuch ne le liye jaruri hai ki Guwahati ke kisi bhi ghatna se naav ke sahaare 10-15 minute ke ride lekar yeha tak pahucha ja sakta hai. Island par pahunch te hi aapko mandir ka pravesh duar dekhne milega. Isliye aapko yeha mandir dhundne ki jarurat nahi padega. Kuch sidhiya charne ke bad aap Umananda mandir ke parisar mein pahunch jayenge. Yeha par darshan karne bad jaise hi aap mandir se bahar niklengein aapko yeha par aapko doo aur mandir ke darshan karne ko milenge yeh mandir bhi Shiv ji ke hi dusre Swaroopon ke hai. Yeha par aapko Shiv ji ke Badrinath aur Mahakaleshwar mandir ke darshan karne ko milenge.

At last

Toh dosto yeh tha aaj ke topic Umananda mandir ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai assam ke Umananda mandir ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Yeh Bhi padhe-

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *