What is paytm payments bank ? | Paytm payment bank ki puri jankari

Paytm to aap sabhi use karte hi honge. Pichle kuch dino mai paytm ne bahut bada upgrade kiya hai aapne app mai or aapna khud ka bank khola jisko aap sab bahut acchi tarah se jante hai. Jiska naam paytm payments bank hai. Aaj ke is post par apko paytm payment bank ke baare mein batane ja raha hu. 


Vaise to paytm ka aap sab use karte hai or paytm payment bank bhi bhut asan hai use krne mai. toh is post ko end tak read kijye apko pata chal jayega Paytm payments bank kya hai aur paytm payments bank kaise open kare !

 

Paytm payments bank kya hai ?

Paytm payments bank apke ek real bank ki tarah hi hota hai haala ki filhal abhi iski do hi branches hai jo ki ek Allahabad or doosri Noida mai hai par isse koi fark ni parta ki aapka account kon si branch mai kyuki aap isko online operate kar sakte hai. 

Yeh paytm payments bank bilkul aapke local bank account ki tarah hota hai. paytm payments bank ki khas bat yeh hai ki Paytm payments bank kholne ke liye aapki koi paper work nahi karna parta hai isme sab kuch apka online ho jaata hai. 

Paytm bank mai apko ek virtual Debit card diya jata hai jisko aap online order kar ke post office ke jariye payenge uske bad ap us debit card se local kisi bhi ATM machine mai use kar sakte hai aur paisa withdrawal kr payenge


Steps to open paytm payments bank

1. Sab se phele to paytm payments bank khol ne ke liye aapke pass paytm account hone bhut zarrori hai.
 
2. Paytm payment bank open karne se phele aapke pass saare valid documents hone cahiye jo ki ek bank account open karne ke liye jarrori hota hai.
 
3. Paytm wallet ki KYC honi bhut jarori hai payment bank kholne ke liye.
 
4. Paytm payment bank open karne ke liye sab se phele aapko bank vaale option pe click karna hoga.
 
5. Bank ke option ko click karne ke baad vaha par aapko open paytm saving bank account ke naam se ek option show hogi.
 
6. Open paytm saving bank account par click karne ke baad vaha par adhaar card, pancard or jo bhi details maanga vah par aapko voh saari details fill kar karni hai.
 
7. Finally details fill karne ke baad aapko next karna hai uske baad aapki ek notification dikhega screen pe jisepe “your documents verification is pending”  likha hoga.
 
8. Jab aapka bank account open ho jayega

To aapko paytm tarf se ke SMS aayega uske baad aap aapne bank account ki saari details check kar sakte hai. Uske baad chahe to aap apna real credit card bhi order kar sakte hai jise charges aapke paytm wallet se deduct kar liye jayege.
 
Toh dosto asha krta hu apko Paytm payment bank kya hai aur paytm payment bank kaise open kare ap jane gaye honge, is post ko social media par jarur share kare.

aise hi knowledgeable bate janne ke liye knowledge finder blog ko visit krte rahiye. Thanks for read

Yeh bhi padhe –

One thought on “What is paytm payments bank ? | Paytm payment bank ki puri jankari

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *