VPN ka Upyog kya hai ?|What is VPN full details in Hindi

VPN ka upyog kya hai ?|What is VPN full details in Hindi, vpn kya hai ? vpn kaise use kare!

Aap sab log smartphone to use karte hi honge or aap sab ko pata hi hoga ki aaj ki date mai smartphone ke bina koi kam nahi hota. Smart phones do types ke market mai available hai jo ek to iOS based hota hai or doosra android based hota hai aur kuch hai par jyda famous iO and Android hi hai.

iOS base phones ko hum jada tar apple ke naam se bhi jaante hai.Or agar android phone ki baat kare to yeh aaj kal har smart phone mai use kiya jata sirf apple yani ki iPhone ko chod ke. Vaise jo jis specification ke baare mai aapko batane ja rha hu vo iOS or Android dono mai availabe hai.

To aj mein apko VPN ke baare mai batane ja raha hu. Jiski options to aapke phone mai jarorr hogi but aapke kabhi isko use nahi kiya hoga.

 

vpn ka upyog kya hai
what is vpn full details in hindi

VPN kya hai ?

Toh ab jante hai ki aakhir yeh VPN hai kya or kya hai iska kaam. Toh first of all VPN ki ful form hai Virtual private network. Yani ki hum aapne original IP address ko hide kar ke kisi bhi server or website pe visit kar sakte hai jo ki India mein ya us region mai banned ho.

VPN ka use karke aap hackers se bhi bach sakte hai. Kyuki yeh aapke server ke incoming or outgoing data ko encrypt kar ke ek server se doosre server tak le jata hai jisse hackers apka private data chori nahi kar sakte hai.

VPN Kaise use kare

VPN use karne ke liye aapko sabse pehle operaVPN naam ki application download karni hogi. Ab aap sab yeh soch rahe honge ki phone mai to phele se hi VPN ko option hoti hai but mai uska kyu nahi bata rha toh iska yeh reason hai ki phone mai jo built in VPN ki option hoti hai vo jada kaam ki nahi hoti hai.


Us option ko use karne ke liya apko uski puri knowledge leni paregi or yeh expert user ke liye hota hai jo ji banking vagera ka kaam karte hai to bank vale is VPN ko set kar k dete hai ki inke networks mai koi interfere na kar sake. To filhaal mai apko simple method ek application ke through bata raha hu jo ki bahut hi easy hai.
Application ko download karne ke baat apko usko open karna hai or vha pe region ki options hogi apko jis region ka IP address use karna hai us par click kar ke connect kar dena hai or aapke status baar mai ek key symbol aayega jiska matlb aap VPN se connected ho.
Note : Palystore par aapko bhut si VPN related applications mil jayegi. Aap ko jiske baare mai jaankari ho aap usko use kar sakte hai.


Laptop/pc par VPN kaise use kare 

Dosto apko jankari de deta hu ki VPN laptop par use karne ke liye best way hai ap OPERA browser ko use kare opera browser par upar tab pe left side me VPN option rehta hai usme se ap on , off kr payenge. dusra best method hai Tor browser istemal karna is browser hamesa ke liye VPN connected rehta hai.
 
Last word:
 
Toh dosto yeh tha aj ka jankari VPN ke upar, asha karta hu ap jan gaye honge VPN kya hai ? aur VPN kaise use kare, yeh bhi bataya gaya hai Computer par VPN kaise use kare.

Aise hi knowledgeable bate janne ke liye knowledge finder blog par visit karte rahiye. hamare post accha laga toh social media par jarur share kare. sath me latest updates pane ke liye facebook page ko bhi like kare. Dhanyawad

Yeh bhi Padhe –

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *