Whatsapp status hide kaise kare!

How to hide WhatsApp status in Hindi | WhatsApp status privacy

Hello doston, kaise hai aap sab Asha karti hu accha honge, knowledge finder blog par aapka swagat hai. Aj ka Topic: Whatsapp status hide kaise kare, jisse har koi status na dekh paye! apko yeh post pasand ayegi

Aaj Ham WhatsApp status hide karne ke bare mein baat karenge Aur woh Bhi natural tarike se aapko koi bhi application download karne ki jarurat nahin hai. aap apna simple WhatsApp se bhi is chij ko kar sakte hain to Chaliye Jante Hain WhatsApp status ko hide kaise kare, how to hide WhatsApp status, WhatsApp status ko hide Karne Ka Tarika!

Whatsapp status hide kaise kare!
Whatsapp status hide kaise kare, jisse har koi status na dekh paye!

WhatsApp status ko hide kaise kare

Ham Sab apni life mein Kuchh Na Kuchh WhatsApp status Ko Lagate Hain Magar Hamare Kuchh status Aise Hote Hain Jo ki bahut jyada personal hote hain aur ham Nahin Chahte ki dusra Koi vyakti usko Dekhen aur Isi privacy ko Ham WhatsApp status hiding ka bhi Kahate Hain.

WhatsApp status ko hide karna bahut jyada Aasan hai aapko Apne status par jana hai Right side me upar three dot vahan par click karna hai, uske bad aapke Samne 2 options aaenge usmein se aapko status privacy par click karna hai

fir apke samne 3 Option ayega My Contacts, My contacts Exept…, Only share with.. apko Only share with.. ko select karna hai uske bad aap Jin ko Apna status dikhana chahte ho unka name select kare

Aap Jin Logon Ko status Nahin dikhana Chahte unko aap tick mark na Karen Kyu ki agar aap unko tick Mark kar Doge toh Ab Jo Bhi status upload Karoge vah un Logon Ko Bhi dekhega Jin logon ko aap status Nahin dikhana Chahte toh Yahan per Dhyan se aur savdhani se kam Kijiye sirf unhin Logon Ko tick mark karna hai Jin Logon Ko aapko status dikhana hai.

Jaise hi aap tick mark kar doge aur done per click kar doge ya Fir ok per click kar doge to Aapka Jo setting hai vah enable ho jaega aur ab Jab Bhi status upload Karoge vah vyakti Ko Nahin dekhega Jin Logon Ko aapane tick mark nahin kiya, Agar aap Chahe to is setting ko change bhi kar sakte hain aapko vahin privacy per jana hai aur privacy per jakar tick mark hatana hai.

Agar aap Chahe to all select Karke Sabko hide kar sakte hain aur Chahe to all select Karke Sabko unhide bhi kar sakte hain.

Whatsapp status Hiding ki trick kisi bhi whatsapp me kaam karegi, Chahe aap whatsapp business istemal karo, Normal whatsapp ko istemal karo ya fir aap GB whatsapp ka istemal karo. Apko isme koi bhi problem nahi aayegi aur jabtak aap khud setting change nahi kroge tabtak setting change bhi nahi hogi.

Last word

Toh doston yah Thi Jankari WhatsApp status hide karne ke bare mein Asha Karti hun ab Jaan Gaye Honge WhatsApp status hide kaise karen, how to hide WhatsApp status, WhatsApp status privacy Kaise lagaen

Agar Aapko Hamari yah post acchi lagi ho to is post ko share Jarur Karen. Aise hi knowledgeable post notifications ko pane ke liye Hamare website knowledge finder ko follow kare aur Hamare Facebook page ko like karna na Bhule, koi bhi Sawal Ho Tumko comment Mein Jarur likhen

Aap Hamari aaj ki yah post read karne ke liye bahut bahut Dhanywaad, Milte Hain next post Mein tab tak ke liye bye and take care!

Yeh Bhi padhe –

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *