Youtube se Paisa kaise kamaye | How to earn money from youtube in Hindi

Namaskar dosto, Kya Aap bhi Janna cahte hai YouTube Se paise kaise kamate hai, Sayed apka man mein bhi sawal Aaya Hoga ki yeh YouTube par Jo log videos uplaod karte hai yani Jo YouTubers hote hai Woh paisa kaise kamate hai.

Toh banai Rahiye is post ke sath aaj humne tyai karli hai Ajke post mein batayenge YouTube Se paise kaise kamaye, YouTubers paisa kaise kamate hai, YouTube Se paisa kaise kama sakte hai aur YouTube Se paisa kamane ke liye kya requirements hai.

Dosto aaiye shuru karte hai ajke topic How to make money form YouTube in Hindi | YouTube Se paisa kaise kamaye Puri jankari

YouTube se paisa kaise kamye!

YouTube kya hai ?

Hum sabhi jante hai YouTube ek platform hai, or unka app bhi hai jahapar har Tarah Ka videos milte hai firbhi Aaye thoda YouTube kya hai Accha se jante hai.

YouTube kya hai: YouTube ek Video platform hai Jo ki American hai lekin YouTube pure world mein chalta hai, Lagh Bagh sabhi desho ke log YouTube istemal krte hi hai or YouTube par videos Dekhte hai sath hi sath Mera jaisa or bhi bahut log hai Jo YouTube par videos uplaod bhi krte hai.

Wese toh YouTube Ka users Kitna Jyda hai Woh apko batakar Nahi smja skate magar apko mein bata du YouTube ajkal sabhi log Dekhte hai

Toh Jo videos ko uplaod karte hai use Hum YouTubers naam se jante hai, ap abhi yeh post padh rahe hai YouTube Se paisa kaise kamaye! Toh kya malum aap videos upload krna shuru kardenge, Fir aap bhi YouTuber ban jayenge.

Apko pata hai aane wale Samay par log TV dekhna band krdega or YouTube dekhna start karega, Kyuki TV par ads Jyda aate hai ads ke mamle me YouTube par Kam ads aate hai or iske sath sath TV me

or ek kamiya hai Woh hai Ap jab TV Dekhte hai Toh apko ads dikhate hai magar Woh ads apka matlab Ka bhi Nahi hote, Bolne Ka matlab Hai manlijiye apko Pasand hai Naya technology lekin tv par apko wahi Pura ads dikhaya jayega washing powder nirma,

Toh Is ads ke mamle me YouTube bahut Intelligence hai kyuki YouTube par apko wahi ads dikhayega jisme aap interest ho. Toh aap samaj Gaye na aane wale Samay par YouTube or Jyda audience grow krlega aaiye aap jante hai YouTube Se paisa kaise kamaye iske liye kya cahiye.

YouTube Se paisa kamane ke liye 1st step

Sabse pehle Apko Ek Gmail account cahiye, us Gmail account se aap YouTube par channel banana hoga Uske bad apko uspar videos dalna Hoga

Toh apko videos banane ke liye 1. Camera Nahi toh ek Accha phone cahiye jisme camera quality Sahi ho, ek mic cahiye jisse apna audio quality mast ho wese agar Apke pass Accha quality earphone hai Toh use bhi Kam Chala sakte hai, Uske bad Phone mein apko 2-3 application dalna padega videos Editing , Thumbnail wagerah banane ke liye.

2. Apko Ek setup cahiye jaha pe videos banayenge matlab ek Studio cahiye Apne Videos behtarin dekhne ke liye. Magar agar caho toh shuruwat me aise hi videos banakr uplaod Kar sakte hai, Jo ki bahut Sare YouTubers pehle aise hi apna videos Bana rahe the toh jab unko earning wagerah hone laga tab dhere dhere invest krte rha or setup, Studio Sab Kuch banaya.

3. Uske alawa sabse important chije apko Knowledge cahiye aap Jo bhi channel banayenge usko Apne knowledge ke base par banaye taki ap uspar ragular videos Dal paye. Toh Apne Jan Gaye YouTube Se paisa kamane ke liye kya cahiye 1st step, aaiye ab jante hai YouTube Ka kya rules hai yani YouTube Se paisa kamana kabse shuru Hoga.

YouTube Se paisa income kitne din bad Hoga ?

Dosto yeh Jo sawal hai YouTube Se paisa kamane Ka or shuru kabse Hoga, yeh ek milestone ke jesa bat hai kehna ka matlab Hai log jab Kuch janne ke bad Jab YouTube par paisa kamne ke liye kadm rakhne hai tabhi YouTube ke rules or paisa kamaa start hone se pehle hi apna kadm piche hata Lete hai, kyuki unse ho Nahi pata YouTube par ragular Kam krna videos banwana or woh end me fail ho Jate hai or Bolta hai YouTuber ban Nahi paya.

Apko mein ek baat Deta hu Rules wagerah bolne se pehle, Manlijiye Apne YouTube channel open ki Uske bad apko Woh sbhi rules janne ke bad aap ne YouTube Kar Nahi paya toh isko lekar itna udas mat hoyega kyuki Duniya mein sirf YouTube hi Nahi hai paisa kamane Ka yeh ek just 1 tarika hai paisa kamane Ka Jo ki online hai.

Thik hai aab aiye main topic par Ki YouTube Se paisa kaise kamaye iske liye YouTube Ka rules kya hai or kitna din bad YouTube Se paisa banna start Hoga.

YouTube Se paisa banna start kab Hoga kitne din bad: YouTube 2017 se pehle YouTube Se paisa kamana bahut hi Ashan tha matlab tab itna Jyda rules bhi Nahi tha or log YouTube par aate hi paisa kamana shuru ho gaya tha kehna Ka matlab Hai 2017 se pehle agar aap YouTube par videos banate hai Toh apko Kuch complete task krna jarurat Nahi padta bas channel banake videos uplaod Karo then usko log dekhenge Uske bad earning shuru.

2017 ke bad YouTube Se paisa kamana bahut hard ho gaya iska ek hi Karan hai Rules ke bad rules ana shuru, or YouTubers ke liye task Lana shuru kiya, 2017 ke bad se abtak yehi rules hai agar aap YouTube par videos dalte hai Toh apko tabhi YouTube Se paisa banna shuru Hoga jab apka YouTube channel mein 1,000 Subscribers honge iska matlab Hai apka YouTube channel ko 1,000 se jda logone Pasand krna Hoga subscribe Karenge toh apka channel paisa kamane ka layek hoga.

Sirf itna hi Nahi 1,000 subscribers ke sath apka channel ke videos par 4,000 se Jyda watchtime hours complete Hona Hoga, iska matlab Hai aap Jo bhi videos dalenge un sabhi videos milakar video ko log Kitna minutes tak dekhte hai yeh sab count Hoga or apka sabhi videos milakar 4,000 Hours Watchtime Hona cahiye tab apka channel Paisa banne ke layek Hoga.

YouTube Ka system hai Jab apka Channel Par 1,000 Subscribers or 4,000 Hours Watchtime complete Hoga toh apka channel monetize Hoga yeh task apko 1 Saal ke andar krna Hoga. yeh YouTube Ka program hai Jab apka YouTube channel par task complete hote hai toh aap apna YouTube channel ke settings me jakr monetion option rahega use on Kar payenge. Toh Aap abhi Jan Gaye YouTube Se paisa kamane kab start Hoga or kaise Hoga rules ke bare me, Aiye ab jante hai YouTube Se paisa kaise kaise kamate hai or YouTube paisa kaise Deta hai.

YouTube paisa kaise Deta hai ?

YouTube Se paisa kamane Ka kayi tarika hai Adsense,Affiliate,Sponsorship Etc. magar sabse Ashan tarika hai YouTube ne Jo pay krta hai Jaise Apne upar rules padha hai Woh sab hone ke bad apko YouTube paisa dega toh kese kiske though. YouTube Se apka earning Jab start ho Jayega toh apko Ek Google AdSense account banwana Hoga Jo ki channel monetize hone ke bad Apne aap ho Jate hai.

Toh us AdSense ke though apko YouTube Se paisa milenge. Google AdSense iska matlab Hai apka YouTube channel par Jo bhi ads ayega Woh sab ane ke liye Google ne AdSense program rakha hai jiske though sabhi YouTubers ke videos par ads aate hai.

Google AdSense par company ads Deta hai or Google ne woh paisa lekar Apne creators Yani YouTubers ko share deta hai. Matlab advertising se YouTubers ko income hote hain or wahi advertising Ka paisa YouTube bhi rakhta hai.

Final word:
Toh Yeh tha aaj ke article mein jankari Youtube se related Youtube se paisa kaise kamaye, Youtube paisa kaise dete hai Youtube se kitna din bad earning hoti hai. Asha karta hu apko pata chal gya Youtubers kaise kamate hai.

Hello Dosto, Post kesa laga aur apko koi sawal hai Toh comment par jarur likhe, Ho sake toh is post ko Apne Dasto ke sath, social media par bhi share jarur kare, article ke anth me aur shuruwat me share button hai udhar se aap click Karke ashani se share Kar payenge.

Aap hamare Knowledge finder ke latest updates pane ke liye Facebook page like kare, Right side par Bell icon ko subscribe kare! ?

“HAR BAAR KI TARAH APKA KEEMTI SAMAY DEKAR HUMARE ARTICLE KO PADHNE KE LIYE AUR KNOWLEDGE FINDER PAR VISIT KARNE KE LIYE BAHUT BHAUT DHANYAWAAD”

Yeh Bhi padhe-

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *