Zomato Kya hai ? Is app se khana order kaise kare

Zomato Kya hai ? Is app se khana order kaise kare, zomato ke bare mein jankari Hindi me

Namaskar doston aaj is post ke jariye Zomato Application ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Zomato mein delivery boy, paise kaise kamay iske ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

Kiya hai Zomato

Zomato ak bharatiyon food delivery aap hai jiske dara aap online khana order kar sakte hai.Jiski sthapana Pankaj Chaddah aur Deepinder Goyal ne 2008 mein kiya tha. Yeh aap aapko aapke pas ke sabi Restaurant ko dikhata hai aur un Restaurant ke menu bhi dikhata hai jisse aap aapni pasand ka food dekh sakte hai aur usse order kar sakte hai. Isme aapko cashback bhi milta hai. Iski delivery bhi bahut fast hai. Iska istemaal karne ke liye aapko Zomato aap download karna padta hai. Uske bad hi aap iska prayog kar sakte hai.

Bharat ko humesha se antararashtriya bajar ko bade avasaron ke rup mein dekha jata hai. Digital yug hone ki vajah se koi start aap logon ko aapni aur online aakarshit karne ke liye bajar mein pravesh kar rahe hai. Online Restaurant ki badti mang aur khana order karne ke system ke badne se koi start aap ubarne lage hai aur Zomato jo ki bharat ka teji se badne wala food delivery system hai. Usne hali mein grahakon ke khane ke tarike ko badal diya hai.

Is food delivery aap ke aane se upyogkartaon ka waqt, mehnat aur paisa bacha diya hai aur sath hi jo Restaurant iske sath jude hye hai unke business mein bhi kafi jayda sudhaar kar diya hai. Iske alawa company logon ko feedback dene ka bhi mauka deti hai ki woh restaurant ki chahe to tarif kar sakte hai ya unke khilaaf galat review de sakte hai.

Zomato se paise kaise kamaye

Jaisa ki hum ne bataya hai ki Zomato aapke ghar ke aaspaas ke restaurant ke khane ko aapke ghar ke darvaaje tak pahuchane ka karya karti hai. Aur agar aapka koi khane ka dukan hai aur aap Zomato ke sath yukt hokar koi karya karna chahte hai to yeh ak bahut hi acha upaay hai.

Ab agar aapna ak restaurant hoga aur aapne khane ki quality bhi achi hogi to log aapke restaurant se order avasya karenge yadi aap aapne restaurant ka naam Zomato company ke sath jod de aur aapne khane ki delivery Zomato ke madhyam se aapne grahakon tak karvate hai to yeh alla bahut hi acha upaay hai laabh kamane ka. Iske liye ak bahut hi chota sa tarika hai ki aapke paas food safety and standard authority of India arthath FSSAI dara jari kiye gaye certificate hone chahiye.

Delivary boy kaise bane

Jaisa ki hum sabi jante hai ki aaj internet ke jariye hum jyada se jyada kam ghar bethe aapne phone se hi kar sakte hai. Chahe woh electricity bill ho, shopping karna ho, ya fir kisi tarah ka koi anya samaan kharidna ho hum ghar bethe hi sab kuch kharid lete hai. Wahi ab to Technology din pratidin badti ja rahi hai, aur is technology ke ab hum khana bhi aapne ghar bethe online manga sakte hai.

Zomato mein delivery boy ka kam karne ke liye aapke paas yeh sab hona jaruri gai

  • Bike
  • Android Phone
  • Bank Account
  • Adhar Card
  • Pan Card
  • Driving License
  • 10th ya 12th Pass

At last

Toh dosto yeh tha aaj ke topic Zomato ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai Zomato ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also Read..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *