83 Movie Review in Hindi

83 Movie ke bare mein, review, movie story

Namaskar doston aaj is post ke jariye cricket ke upar bani 83 film ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap 83 film ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

83 Movie Review in Hindi

Ranveer Singh aur Deepika Padukone starr film trailer launch hua, Is film ko lekar audience mein bahut hipe bani hyi hai. Is film ka intejaar kareeb so saal se ho raha, par covid ke chalte film ki release date piche hote ja rahi thi.

Bahucharchit film 83 ka trailer kuch din pehle hi release hua hai aur darshakon ko yeh kafi pasand bhi aya hai. Film 83 Bharat ke World Cup jeetne ki kahani par adhaarit hai aur isme Ranveer Singh ne legendary cricketer Kapil Dev ka role nibhaaya hai. Deepika Padukone cricketer ki wife Romi Bhatia ki bhumika mein najar aati hai. Kapil aur Romi bane Ranveer aur Deepika ko jaha darshakon ne khub pasand kiya hai.

Kapil ne bataya hai ki jab unhe pehli baar pata chala ki film 83 mein Ranveer Singh unka character ka role play karne wale hai, to unhe kaisa mehsoos hua tha. Kapil ne kaha ki unhe khushi hye thi ki Ranveer Singh jaisa great aur talented actor film mein unka role nibhayega. Halaki Kapil ke anusaar unhe thodi fikra bhi thi kiuki yeh bahut athletic job thi. Kapil Dev ki maane to film Padmavat ke actor Ranveer Singh ne jis tarah se ak saal ke andar khud ko is role ke tayar kiya woh kaabile tarif hai. Kapil ne kaha ki mujhe biswas nahi hota ki koi film mein aapne role ke liye itni mehnat bhi kar sakta hai. Aapko bata de ki Kapil ke role mein khada utarne ke liye Ranveer Singh ne kuch din cricketer ke ghar par hi gujarte the taki thik Kapil ke jaisa uthna-bethna aur bat karna woh sikh sakhe.

83 film ke kuch khaas batein

Bahut si biopic film aisi hoti hai jinmein filmy touch dalne ke liye glamer ka tarka parosa jata hai. Par yeh film glamer ki jagah game aur game se jude tathyon par focus karti hai. Trailer mein is daur ko dikhane ki koshish ki gyi hai, jisme film nirmata puri tarah se safal hyi hai. Trailer ko dekh kar us samay ke cricket maidaanon ki yaadon taja ho jati hai. 1983 mein hye cricket match ko puri tarah se parde par utarne ki koshish ki hai. Appko bata de ki yeh film India mein multi language mein release kiya jayega.

Trailer mein 1983 mein khele gaye World Cup ko dikhaya gaya hai. Is world Cup ka aakhri match India aur Westindies ke beech mein khela gaya tha, jisme team India ne number 1 par performance kar rahi Westindies ko haraya tha.

Us daur mein Bhartiya cricket team itni majboot nahi thi, jis karan kisi ko bhi team India se jeetne ki umeed nahi thi. Trailer mein Bhartiya team ki jeet aur sangharsh ko parde par utarati gaya hai.

At last

Toh doston yeh tha aaj ke topic 83 movie ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai 83 movie ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *