Mobile Recharge Price Increase hone par kya samshya jhelne pad rhe hai ?

Mobile Recharge Price Increase hone par kya samshya jhelne pad rhe hai ?

Namaskar doston aaj is post ke jariye Mobile Recharge Price Increase hone ke bare mein kuch batein aap logo se share kar raha hu. Agar aap mobile recharge ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

Mobile Recharge Price Increase

March 2020 mein desh mein Corona mahamari ke bad se hi bacchon ke school band hai aur unhe online classes karna pada raha hai. College ya anyaay sthaanon ke satron ko bhi online classes karna pada raha hai. Koi company ke karmchaari abhi bhi corona ke dhar ke chalte ghar se online jakar office ka kam ghar par hi kar rahe hai.

Bacchon ka online classes ho ya karmchaari ka work from home ho dono hi bina data ka sambhav nahi hai. Waise hi online college aur work from home ke chalte logon ka mobile bill badh gaya tha. Lekin 25 November se logon ka bajat aur bhi bigad ne wala hai. Kiuki Bharti Airtel, Vodafone, Idea, Reliance Jio ne aapni mobile recharge mein 20 se 25 fisadi tak badhotari ka ayalaan kar diya hai. Iska artha ye hua ki mobile phone par batein karna aur mobile, laptop par net chalana ab mahenga ho gaya hai. Isi ke sath bacchon ke online classes aur work from home ke liye kharch hone wale data ke liye aapko jayada paise kharch karne honge.

Tibra ninda karta hu Telecom Company borak

Kuch saal pehle ak aam aadmi 10 rupee ka recharge karne se mahine bhar chal jata tha. Main ne dekha hai, meri Ma, aunty, nani unlogon ko recharge ki utni jarurat nahi hai, bas ak miss call karne ka paisa hona hi kafi hai, lekin ab unlogon ko paise jayada bharna par raha hai, yehi ak aam aadmi ke liye bahut kastakar. Nishchay Telecom company ne sarkar ke sath aluchana karke recharge plane ki mulya badhane ka siddhant liya hai. Is siddhanta ko main tibra ninda karta hu. Har ak Telecom company nene mahine mein 99 paise badhaya hai. Aur recharge nahi karne par Sim band kar diya jata hai. Pehle to aisa nahi tha ab kiu aisa niyam? Kafi asuvidha hone ke bad bhi aam aadmi na chaahate huye bhi recharge karna parta hai. Lekin mere jaise berozgaar, middle class logon ke liye bahut kathin hota hai. Ab fir se 199 ke plane ko 249 bada diya gaya hai. Fir bhi karna hi padega recharge aur koi option hi nahi hai. Jaise ki aaj kal ki daily life mein mobile phone ki kafi jayada jarurat hai.Aaj kal recharge ki mane to 24/28 dinon mein hi 1 mahine ho jata hai. 199,249 recharge mein 1 rupee kiu kam rakhta hai samajh nahi aata, itna rupee agar de sakta hu to fir kiya 1 rupee nahi de sakta. Waise bhi dukandaar se 1 rupee wapas liya hi nahi jata. Fir bhi agar anya chijo ki mulaay badhaya jata hai to sadaran log kaise aapna kam chala leta hai, lekin aaj kal har chij online hone ke karan logon ko internet chahiye. Daily jeevan mein internet kafi ahem role nibhata hai, data mehnga hone par bhi hume recharge karna padta hi hai.

At last

Toh dosto yeh tha aaj ke topic Mobile recharge increase hone ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai recharge ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also Read..

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *