About Google in Hindi

Namaskar doston aaj is post ke jariye Google ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Google ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

black samsung tablet display google browser on screen
Photo by PhotoMIX Company on Pexels.com

Google kiya hai

Google ak American bahurashtriya praudyogiki company hai, jisne internet search, cloud computing aur vigyapanon tantra mein punji lagayi hai. Yeh internet par adhaarit koi sevaye aur utpad banata tatha viksit karta hai aur yeh munafa mukhyataya aapne vigyapan kaaryakram adwords se kamati hai. Google Apple, Amazon, Facebook aur Microsoft ke sath praudyogiki ke website mein se ak mana jata hai.

Google ko internet ki duniya ka king bhi kaha jata hai, aaj sabse jyada use kara jane wala Search Engine Google hi hai. Alexa Ranking ke anusaar google humesha #1 pehle sthan par hota hai, aur dusre sthan par bhi google ka hi kabja hai jise hum sab YouTube ke naam se jante hai.

Google mein har second 40,000 prashn ko search kiya jata hai matlab pure din mein 3.5 billion se adhik prashnon ko khoja jata hai ab shayad aap samajh gaye honge ki aakhir Google duniya bhar mein pehle sthan par kis liye hai. Jab hum google ko Google.com ya Google ke kisi bhi Extension se google ko kholte hai tab aapko bilkul sadharan sa interface dekhne ko milta hai, par yeh sadharan sa dikhne wala duniya ki kone kone mein istemaal kiya ja raha hota hai log ise aapni madad ke liye istemaal karte hai koi ise Office mein to koi ise ghar par use karte hai aaj har koi google ko aapne sawalo ke samadhan ke liye istemaal karta hai.

Google ka pura naam kiya hai?(What is the full form of google)

Google ak short naam hai, google ka pura naam hai “Global Organization of Oriented Group Language of Earth“.

Search Engine ke sath sath google ak bahut badi Multinational Company hai, Advertisement, Internet, Analytics, Cloud Computing, Play Store, aapna khud ka Browser yeha tak ki aapna khud ka Operating System(Android) bhi hai aur google en sabi se paisa kamati hai.

Google ka Itihaas

Google ki sharuaat 1996 mein ak research pariyajna ke dauraan Larry page tatha Sergey Brin ne ki. Us waqt Larry aur Sergey Stanford University, California mein PHD ke satron the. Us samay, paramparik search engine sujhaav ki variyata web page par search torm ki ganana se tay karte the, jab ki Larry aur Sergey ke anusaar ak accha search system woh hoga jo web pagaon ke talluk ka vishlekhan kare. Is naye takneek ko unhone pagerank ka naam diya. Is takneek mein kisi website ki prasangikata/yogyata anumaan, web pagaon ki ginti, tatha un pagaon ki pratishata, jo aarambhik website ko link karte haihai ke adhar par lagaya jata hai.

Page aur Brin ne aapne search engine ka naam Google rakha. Naam Google is bat ko darsata hai ki company ka search engine logon ke liye jaankari badi matra mein upalabdhta karne ke liye karyakart hai. Aapne shuruaati dinon mein Google Stanford University ki website ke adhin google.stanford.edu naamak domain se chala. Google ke liye iska domain naam 15 September 1997 ko panjikrit hua. 4 September 1998 ko ise ak niji-aayujit company mein nigamit kiya gaya. Company ka pehla karyalay Sushan Woji ki garaj Menlo Park, California mein sthit hua.

Google ka Products

Google ka mission statement logon tak jyada se jyada jaankari pahuchana hai. Sabi jaankari ko vyavasthit karke use un sabi logon tak pahuchana jisko uski jarurat hai aur sath uske liye frydemand bhi ho, isiliye har search par alag alag tarah ke sainton par jaankari ki milti hai jo users ki khoj ko aasaan banata hai.

Google ke kul 51 products aur service hai. Jinmein se kuch is prakaar hai.

Android Smartphones ke liye sabse jyada upyog kiya jane wala OS operating system hai.

Chrome OS laptop portable Computer ke liye google dara banaya gaya hai.

Gmail 1 GB ke sath free only e-mail service aur best spaan protection ke sath android ke sath upalabdha hai.

Google AdSense ak aisi service jo website developer ya blog publisher ko unki site par vigyaapan dalne tatha dikhne ke liye bhugtan karti hai.

Google AdWords service ka istemaal karte hye Google search engine aur websitaon par vigyapan dene liye users ko bhugtan karne mein sahaayata karti hai.

YouTube jo ki ak video service hai jo upyogkarta ko swatantra rup se videos upload karne ki subidha pradaan karta hai aur ab to YouTube shorts bhi aa gaya hai.

Google Play Store to aaj har ak android phone mein ak service ke rup mein hoti hai, jo upyogkarta ko android device ke apps, kitaaben, movies aur music tak download karne ki subidha deti hai.

Google dus, Google Alerts, Google Maps, Google images, Google pay, drive, news, video, Google keyboard, play music aur bhi aisi service hai.

At last

Toh dosto yeh tha aaj ke topic Google ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai Google ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *