Happy Republic Day 2022: Ganatantra divas kab, kyu aur Ganatantra divas ke Itihaas ke baare mein jaaniye hindi mein!

Namaskar doston aaj is post ke jariye Republic Day yani Ganatantra divas ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Republic day ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

Republic Day kab aur kiu manaya jata hai

Ganatantra divas bharat ka ak rashtriya parva hai jo prati varsh 26 January ko manaya jata hai. Isi din saal 1950 ko Bharat Sarkar Adhiniyam ko hatakar Bharat ka samvidhan lagu kiya gaya tha. Ak swatantrata ganraajya bana ne aur desh mein kanun ka raj sthaapit karne ke liye samvidhan ko 26 November 1949 ko bharatiyon samvidhan sabha dara apnaaya gaya aur 26 January 1950 ko ise loktantrik sarkar pranaali ke sath lagu kiya gaya tha. 26 January ko isiliye chuna gaya tha kiuki 1930 mein isi din bhartiya rashtriya congress ne bharat ko purna swaraaj ghoshit kiya tha. Is bharat ke teen rashtriya avakashon mein se ak hai, anya do swatantrata divas aur Ghandi jayanti hai.

Bharat mein har saal 26 January ko Gantantra Divas(Republic Day) ke rup mein manaya jata hai. Is saal yani 2022 mein aapna desh 73 va Ganatantra divas mana raha hai. Saal 1947 mein desh ko british raj se swatantrata to mil gayi thi, lekin iske paas aapna samvidhan nahi tha. 26 January 1950 ko bharat ko aapna samvidhan mila. Dr. B.R. Ambedkar ne samvidhan ki masuda samiti ki adhyaksh ki. Ganatantra ghoshit kiya gaya, isiliye is din ko Ganatantra Divas ke rup mein manaya jata hai.

Ganatantra divas pure desh mein bahut hi dhumdham se manaya jata hai. Ganatantra divas samarohon ka mukhya aakarshan parede hai jo rajpath, Delhi se suru hoti hai India Gate par samaapt hoti hai. Is din desh ke raashtrapati rajpath, nai Delhi mein jhanda fahraate hai. Is din culture program ke sath bhartiya sena, bharatiyon nausena aur bhartiya vaayusena bhi bharat ki sanskritik aur samaajik virasat, parede aur yarsho ke jariye pradarshit karte hai.

Ganatantra Divas ka itihaas

Bharat ki aajadi ke bad 9 September 1947 ko samvidhan sabha banane ki suruaat ki jise 2 varsh 11 mah wah 18 din mein bana kar taur kiya gaya. Isi din bhartiya congress dara bharat mein purn swaraaj ko bhi ghoshit kar diya gaya tha aur is din se 26 January ganatantra divas ke rup mein manaya jata hai. Bhartiya samvidhan nirmaan ke liye 22 samitiyon ka chunaav kiya gaya. Jinka karjya samvidhan ka nirmaan karna va samvidhan banaana tha. Samvidhan sabha dara samvidhan nirmaan ke liye 114 din baithak ki gayi jismein 308 sadasyon ne bhag liya is baithak ke mukhya sadasyon Dr. Rajendra Prasad, pandit Jawaharlal Nehru, Dr. Bheemraav Ambedkar, Sardaar Vallabh Bhai Patel, Maulana Abdul Ajad adi the. Inke alawa samvidhan sabha baithak mein janta tatha press ko bhi shamil kiya gaya tha. Bhartiya samvidhan 26 January 1950 ko samvidhan pure desh mein lagu kiya gaya. 26 January ki mahatv banaye rakhne ke liye va bharat ke ganatantra swaroop ko maanyata dene ke liye 26 January ganatantra divas ke rup mein manaya jata hai. Is din 1950 ko desh mein kanun aur bhartiya shashan ko lagu kar diya gaya.

Ganatantra divas ka utsav

India Republic Day 2022: Parade, Flag hoisting time, celebration and all  you need to know - Times of India

Ganatantra divas ka karjyakram subah pradaan mantri ke shaheed jyoti ke abhivaadan se suru hota hai, pradaan mantri subah sabse pehle India Gate par prajvalit shaheed jyoti par jakar unka abhivaadan karke rashtra ki aur se shaheedon ko shradhanjali arpit karte hai. Iske bad rashtrapati bhavan se rashtrapati ki sabari vijay chauke ki aur nikalti hai, parampara ke anusaar rashtrapati ke mein ganatantra divas par aamantrit mukhya atithi bhi hote hai. Yaha teenon senaaon ke senadhyaksh rashtrapati swaagat karte hai. Iske bad rashtrapati, pradaan mantri ka abhivaadan sweekaar kar aasan grahan karte hai. Fir jandarohan aur rashtravaadi gaan ke bad ganatantra divas ki parede aarambh ki jati hai.

Ganatantra parede mein sanskriti ki jhalak

“Vividhata mein akata” se bhara yeh rashtriya parva aur khaas ho jata hai jab rajpath par alag alag rajya aapni sanskriti, parampara aur pragati ko jhakiyon ke madhyam se pradarshit karte hai. Isi ke sath log nartak mandaliyon mein log nrityon ke sath aapne aapne rajya ka pratinidhitv karte hye sabi mandaliya aapni veshbhusha ke sath aapni kala se sabi ka money moh lete hai, isi tarah gayan, nrity aur vadhya yantron ke sath alek kaaryakram hote hai tatpashchaat kaaryakram ke anta mein vaayu sena ke jahaaj rangin gas chhodte hye vijay chauke ke upar se gujarte hai jo aakash mein rashtriya jande ka chinhon pradarshit karte hai.

At last:

Toh doston yeh tha aaj ke topic Republic Day ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai Republic day ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Ye bhi padhe:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *