APDCL consumer number ke sath mobile number kaise jode?

APDCL assam power distribution company limited iska consumer ke liye yeh company ne unke website me kafi badlao kiya hai jisse customer ko or company ko dono ka hi accha hua hai. Jaise consumer number ke madad se bill pay karna consumer number ke sath mobile number update karna or bill details, payment receipt bhi APDCL ke website se prapt kar sakte hai iske liye mobile number updated hona chahiye..

toh chaliye jante hai electricity bill dekhne or payment receipt prapt karne ke liye APDCL consumer apna mobile number update kaise karenge ?

sabse pahle APDCL.org official website hai yanha jaiyein uske baad aagar aap laptop/pc par apdcl.org khulenge toh right side me upar login ka option milega ya agar aap smartphone me APDCL.org khulenge toh upar left side me three line ka button milenge woha click karne ke bad login ka option milega woha click karna hai.

login par click karne ke bad log in to your account aisa popup khulega agar aap pahle se registered user hai toh mobile mumber darj karke sent otp par click krne se apka phone me otp ayega woh enter krne ke bad payment receipt, bill details nikal payenge..

agar aapne apke consumer number ke sath mobile number update/register nahi kiya toh sent otp ke thoda niche register now ka opton milega woha click karne ke bad consumer number darj Krna hai or right me blue icon par click Krna hai.

click karne ke bad consumer ka name connection type mobile number, email aadhar no. Yeh sabhi details dalke register button par click karna hai.. fir phone me ek otp ayega use dalna hai or verify karna hai.

Toh itna sa step krne ke bad apka apdcl consumer number ke sath mobile number update ho gaya hai..

Last word

Yeh tha choti si jankari apdcl consumers ke liye aasha karte hai apka apdcl consumer ke sath mobile number update kaise kare is sawal ka jawab mil gaya hai..

Is post ke sambandit koyi bhi suggestions ya sawal hai toh niche comment jarur karein.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *