Best Rakhi Gift For Brother & Sister in Hindi

Hi doston kaise hain aap sab Raksha Bandhan ke bare me Kaun Nahi Janta. Hamare Desh Mein Raksha Bandhan ka tyohar Badi Shanti Aur Pyar Se Manaya jata hai. Aur Ghar Mein Rehne wale bhai behan Apne bich Ki Ladai Ko bhul Kar is tyohar me ek dusre ko izzat Dete Hain aur ek dusre ki galtiyo ko Maaf Bhi Karte hain.

Raksha Bandhan Aane Wala Hota Hai To Hum Pahle Se Hi taiyari Mein Lag Jaate Hain Ki Raksha Bandhan par kya gift Dena chahiye. Magar kya kabhi aapne ye jaan ne ki koshish ki hai ke Raksha Bandhan kya hai aur Raksha Bandhan kyun Manaya jata hai aur Raksha Bandhan ki kya importance Hai Hamari Zindagi Mein.

Hum Sabhi bhai behan Ka Rishta aise hi hota hai Ladai jhagde bhi Hote Hain Pyar Bhi hota hai aur ek dusre ke liye dil mein Ijjat bhi hoti hai. To aaj ke is post Me Hum janenge Ki Raksha Bandhan kya hai aur Raksha Bandhan kyu Manaya jata hai. Raksha Bandhan par gift karne ke liye best idea ke bare me bhi janenge aur Raksha Bandhan ki History par bhi charcha karenge. 

 


Rakshabandhan Kya hai aur Rakshabandhan Kyu Manaya jata hai.
Sawan Ka Mahina Aate he hi duniya bhar ke bhartiya is Din Ka Intezar karne lag Jate Hain. Rakhi ka itihas Hamein Ramayan Se Jaan Ko Milta Hai jo ki isi Se Juda Hua Hai. Bhagwan Shri Krishna ki Shruti Devi Naam Ki Ek chachi Thi Aur Un Ka Ek beta tha Jiska Naam Shishu Pal tha aur wo Thik Nahi Tha aur sundar bhi nai tha. Magar wo Dukhi Thi Kyunki usko Jankari De gayi thi ki Jiske Hathon wo thik Hoga Usi Ke Haathon wo Mara bhi Jayega.

Ek Din Shri Krishna apni chachi Ke Ghar Aaye The aur Shrut Devi Ne Shishupal ko Shri Krishna ke haath mein rakh Diya, Jaise Hi vah  Shri Krishna ke Sparsh Mein Aaya bahut Sundar ban gaya aur thik bhi ho gaya. Magar Woh dukhi thi to unko Dukhi avastha Mein Dekh Kar shri Krisna ne Ye Sawal Kiya ki aap Kyon Dukhi hai to Shurt Devi Ne unko jawab Diya ki Mera Putra Jis Ke Haathon thik Hoga Usi ke Hathon Mara Jayega isiliye main Dukhi Hoon. 

Yeh bhi padhe – Kam/jyda sone ka nuksan ?

ShrutDevi ki is Baat Ko sunkar Shri Krishna Ne unko aashwasan Diya K Mein Shishu Pal Ki galtiyan maaf kar dunga, wah Agar 100 Se Jyada galtiyan kar Baithe to mai bhi apne aap ko rok nahi paunga aur usko saza milegi. Shishu Pal Bada hokar Raja ban gaya aur bahut krur Raja ban gaya, Wo Apne rajyon ke logon ko satane laga aur baar baar Shri Krishna ko ladai karne ke liye chunauti dene Laga.

Ek baar usne Bhari Sabha Mein Shri Krishna ki Ninda kar de Jo ki uski Aakhri Galti Thi Aur Shri Krishna ko use par itna Jyada Krodh aaya ki unhone apne Sudarshan Chakra se uska sir Uske dhad Se Alag kar diya. Magar Jaise hi Unka Sudarshan Chakra Unki ungli Se Nikala To Unki bhi ungli se Khoon Bahane Laga. Shri Krishna ke haath mein bhi chot Ayi Thi us chot se Khoon Behta dekh Sab Log Yahan Wahan Dhoondne Lage ki hum usko ungli par kya Lagaye.


Magar wahan par Khadi Draupadi Ne Bina Kuch soche samjhe apni saadi ka kona phadkar Shri Krishna ke haath mein Lagi chot par Band Diya. To Shri Krishna Ne Draupadi Ka Shukriya Ada Kiya aur unko behen Keh kar Usi Din Shri Krishna Ne Draupadi se Wada Kiya ki Jab Bhi wo Kisi Sankat Mein Hogi to usko Bahar avashya bachayenge. Is ghatna ke baad Raksha Bandhan Ka Aarambh hua.

Baad Mein Jab Kauravon Ne Draupadi ki Bhari Sabha Mein Unki saadi kheench kar unka apmaan karne ka prayaas kiya to Shri Krishna Ne Draupadi ko Unse bacha kar apna wada poora kiya tha. Us Samay Se Lekar Bahane Apne bhaiyon ko Raakhi badhti hai aur bhai Badle Mein y aashwasan Dete Hain Ki Woh Jab Bhi Kisi musibat mein hongi to unke bhai unko bachane aaenge. 

Yeh bhi padhe – Android phone ko chalane ka sahi tarika

Bharat mein is Din Raksha Bandhan ke Alawa Aur Bhi Kayi Sare tyohar Hai Jin ko alag alag Rajya Mein alag alag tarike se Manaya jata hai. Magar sabse lokpriya Hai Raksha Bandhan ka tyohar. Dusre tyohar log Manaye Ya Na Manaye Magar Raksha Bandhan ka tyohar pure Bharat mein Pyar Se Manaya jata hai.

Rakshabandhan Gift For Sister
Is raksha bandhan par agar aap bhi apni behan ko gift select karne me late ho gaye hain ya aap ko samajh mein nahin aa raha hai ki kya gift Dena chahiye jisse wo khush ho jaaye to Aayiye janye Aise gift ke bare me Jisko aap apni behan ko de sakte hain. Best Rakhi gift for sister, Rakshabandhan gift for sister, Behen ko dene ke liye best gift

Gift Combo Pack
Gift combo pack mein aap usko best sister ka mug aur Cadbury Celebrations de sakte hain is se wo Khush bhi Hogi aur usko proud me feel Hoga Ki aapne usko best sister kaha hai.

Power Bank
Agar aap ki behan bhi mobile lover hai aur uske mobile ki battery down ho jati hai to aap usko Power Bank gift kar sakte hain. 

Facial Massager tool kit
Ladkiyon ko Shauk hota hai apni skin ko accha rakhne ka to aap unko facial massager de sakte hain Jis Se Uske Parlour ka kharcha Bach Jayega aur vah is massage tool Ko Jab Bhi istemal Karegi aapko Yaad Karegi aur aapko thanks bolegi.


Manicure pedicure tool kit
Agar aap ki sister ko shauk hai bade bade nakhun badhane ka car aur nail art karne ka to manicure pedicure kit uske liye ek best option hai Kyunki Agar wa ye Sab parlour Se karavegi Tu usko bahut jyada kharcha bhi aayega to aap manicure pedicure tool kit gift Karke apni sister ko Khush kar sakte hain is Rakhi par

Headphones
Agar aap ke headphones par aap ki behan Ka Raj Hai to Kyon Na is Rakhi par aap apni behan ko headphones gift Karen is se aap bhi khush ho jayenge aur woh bhi khush ho jayegi.

Tops & Tees
Aap ki behan ko tees and tops Pasand Aate Hain To uske liye give best option hai hi is Rakhi par gift dene ke liye aap Chahe to offline bhi kharid sakte hain aur online bhi order kar sakte hain.

Rakshabandhan Gift For Brother
Raksha Bandhan ke Tyohar par sirf bhai hi apni sister ko gift Nahin dete Behne bhi apne bhaiyon ko gift Deti Hai, Agar aap bhi un sisters Me Se Hain Jo Apne brother ko Raksha Bandhan par kuch na kuch gift karti hai aur is baar unko kuch special gift karna to janiye Rakshabandhan Gift For brothers, Best rakshabandhan gift for brothers, rakshabandhan pe brother ko kya dena chahiye

Combo Gift Pack
Is combo gift pack mein aap sunglasses wallet aur belt de sakte hain agar aap ya nahi dena Chahte to best brother ka mug with Cadbury Celebrations ko de sakte hain in chizon of aap online or offline Dono tarike se le sakte hain

Wireless Mobile Charger
Agar aapka brother bhi mobile user hai aur aur Hamesha aap ke charger Ke Piche Pada rehta hai to aap is Raksha Bandhan ke tyohar par usko Ek wireless mobile charger gift kar sakte hain. 

Bluetooth smart watch with camera
Agar aap ke brother ko stylish Rehna pasand hai aur usko Ho smart band kar rehne ki Aadat hai to aap usko isme Thodi Si help kar sakti hai Bluetooth smart watch with camera gift krke. Isse wo bhi khush ho jayega aur uski smartness Main Bhi Char Chand lag Jayenge.


Shoes
Shoes Kis Ko pasand nahi hote market Mein Koi Bhi naya style Kiya naya brand Aata Hai To Har Ladka Yahi Sochta hai ki mujhe yeh wala suit kharidna hai to is raksha bandhan par aap unko Unki Pasand ke shoes gift kar sakte hain Jab Bhi wahi shoes ko Pehchan Ayenge to obviously aapko Yaad Rakhenge ki aapne unko is raksha bandhan par ya shoes gift kiye the.

Hoodie
Is Rakshabandhan k Tyohar pe aap apne bhai ko Hoodie gift kar sakte ho ye dikhne me bahut stylish hoti hai aur boys ko ye pasand bhi aa jaati hai. Yeah aap ko offline or online Dona jagah par available ho jayegi. Hoodies ago season wise bhi mil Jayegi.

Printed Back Cover For mobiles
Boys ko vaise Bhi Jyada tar shonk hota hai mobile covers ka to aap is Raksha Bandhan ke tyohar par Apne brother ko printed back cover de sakte hain iske liye aap normal cover bhi de sakte hai aur agar aap Chahe to apne brother ki photo print karwa Kar Bhi unko gift kar sakte hain.

Last Word
Raksha Bandhan ka tyohar bahut Hi Pyara Hai bahan bhai Ke Rishte ko majbut Rakhta Hai Chahe bahan bhai ek dusre Se Kitna bhi Kyon Na lade, Magar Raksha Bandhan ke din Unki Ladai nahi hoti ho ek dusre ko respect Karte Hain aur  Ek dusre ke saath is tyohar ko celebrate karte hain.

Aaj ke post Mein aapne Jana Ki Raksha Bandhan kyun Manaya jata hai aur Raksha Bandhan par aap apni behan ko ja bhai ko aisa kya gift de sakte hain Jiski wajah se hua aap ko yaad bhi Rakhe aur aap ke gift se Khush bhi ho jaaye

Agar Aapko Hamari Ye post acchi lagi ho to isko Apne friends aur family ke sath share karna. Aise hi knowledgeable post ke notifications ko pane ke liye Hamare website knowledgeFinder.in ko follow aur Hamare Facebook page ko like karna na Bhule

Is Raksha Bandhan ke tyohar par aapne Apne a bahan aur bhai ko kya gift Dene Ki sochi Hai comment Karke Jarur batayega.

Knowledge finder ki taraf se aap sabhi ko Happy Raksha Bandhan

Yeh bhi padhe –

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *