Sal me ek bar ghumne kyu jana chahiye | Best beautiful Tourism place in the world

Hi, Bahut log Duniya ghumne ka shoqin rahte hai Par unhe achhe achhe jagah nahi pata hote hai. Jaha woh jakar maje kar sake. Esliye mai es article me aapko Best beautiful Tourism place bataunga Jaha jakar aap khusi se ghum sakte hai aur Nature se bate kar sakte hai.Agar aap kahi ghumne ka plan bana rahe hai aur kisi fixed place ka chunav kar chuke hai ghumne jane ke liye.Toh yakin maniye mai jo Jagah aapko bataunga ghumne jane ke liye usse aap apne jagah ko bhul jayenge.
 
Toh namskar dosto,Aap sabhi ka hamare Knowledge finder Hindi blog par bahut-bahut swagat hai. aaj ke hamara Topic hai “Best Beautiful & Unique Tourism place in the world“.
 
Agar aap bhi kahi ghumne jane ki soch rahe hai desh-videsh me to yeh article khas apke liye hai. Mai en sab jagah ke bare me esliye bata raha hu kyuki aap kahi ghumne ja rahe hai paise laga kar Toh aapko achhe jagah jana chahiye Jaha aapko lage ki han yeh jagah kafi Unique aur sundar hai. Jaha aapko kuch sikhne ko mile,Jaha aap Nature ke bare me aur adhik jankari le paye aur Jaha aapko kuch naya sikhne ko mile.

Is Best beautiful Tourism place in the world post par Aise hi jagaho ke bare me mai aapko batane wala hu,Bahut se log Duniya me ghumne jane ke liye sochte Hai. Lekin woh asamnjas me par jate hai woh confuse ho jate hai ki Akhirkar vo kaha ghume. Esliye mai aapko Aise Best jagah batane wala hu jaha aap jakar ghum sakte hai aur sabhi jagah Best beautiful Tourism place in the world mein shamil hai.

 

Sal me ek bar ghumne kyu jana chahiye?
==>Aajkal ke log apne kamo me etne fursat ho jate hai ki vo duniyadari ko hi bhul jate hai. Aajkal hum har din kahabar me sunte aa rahe hai ki aajkal log kam ke pressure se bimar ho rahe hai. Students log apne padhai ke bojh se frustrate ho rahe hai. Toh vaise logo ko Sal me ek bar kahi bahar ghumne jana chahiye,Jo log din rat office me kam karte rahte hai Vaise log jaldi hi depression ke shikar ho jate hai. Vaise logo ko Bahar ke duniya me nature me ghumne zaroor jana chahiye,Esse mind ka frustration door hota hai Aur hamara dimag aur knowledgeable aur chust ho jata hai.

Jisse hame kam karne tatha kuch janne ki echha me badhotari hoti hai. Kisi kisi ko puri duniya dekhne ka shoq hota hai. Lekin hamara duniya etna bara hai ki usse ghumne hamare pure Jindegi me bas ki bat nahi hai,Lekin hum log apne kam ke chakkar me kahi bhi nahi ghum pate hai aur jab hamara aakhiri samay aata hai Toh hume apne aap me ajib sa feeling hoti hai ki Kas hum Kabhi vaha ghume hote.

Aur Isliye mai aapko kuch chuninda Jagho ke bare me batane ja raha hu Jaha aap ghumne ke liye chale jayenge. Fir vaha se aapko aane ka man hi nahi karega. Bare bare log apne kam se frustrate esliye nahi hote hai kyuki vo log hamesha aaydin apne parivar ke sath desh-videsh ghumte rahte hai. Esliye vo log apne kam par jyada focus kar pate hai. Aur mujhe lagta hai aapko bhi en jagho par jakar kuch time spend karna chahiye taki aapka man bhi swasth rahe. Toh chaliye jante hai aise jagho ke bare me jo ki Best beautiful Tourism place in the world List mein se laya gaye hai.
 
Best Tourism Place in the world!
–Niche me mai Kuch chuninda jagho je bare me batane wala hu.Jaha jakar aapko kuch naya sikhne ko milega.Aap ek bar vaha chale gaye to fir vaha se aane ko Kabhi man hi nahi karega.
 
★Blade iland(Sloveniya)
–Blade iland Utri sloveniya me basa huya hai. Sloveniya Europe me aata hai. Yahan khoobsurat jheele hai. Har saal garmiyo me lakho ke tadad me paryatak es iland par chhuttiya bitane aate hai. Blade iland ko blade lake ke nam se bhi jana jata hai. Yah khoobasurat jheel lyublyana international airport se 35 kilometer ki doori par Sthit hai.
 
★Dubayi
–Dubayi Asia ke khoobsuat shahro me gine jate hai, saath hi Aisa ka sarvadhik parytako vala shahar bhi hai, shopping ke liye sabase best jagah hai.Vaha jakar aapko kuch naya sikhno ko milega kyuki Dubayi ek retila jagah hai jaha pani ka nirman kiya gaya hai.Vaha aapko Bare bare buildings,aur Loyality gariya dekhno ki milegi.Dubayi apne sakht kanoon ke chalte bhi mashoor hai.
 
★NewYork
-NewYork shahar America ka sarvadhik jansankhya wala nagar hai, Newyork America ka takat aur aadhunikta ka numaish hai, ye duniya ka sabse bada arthvyavastha wala shahar bhi hai.
 
★London
–London sahar hai jaha se kabhi pure duniya sanchalit hota tha, aur aaj bhi aise 37 desho ka Swami london hi hai, London apne khoobasurati ke liye kafi mashahoor hai,  landan saanskrtik virasat aur tamam khelo ke liye bhi mashur hai.Vaha aapko kyi tarah ke meusium dekhne ko mil jayega.Aur khas kar hamar desh ke Diamond aapko London me dekhne ko mil jayega.Jo ki duniya ka sabse Mahnga Diamond hai.
 
★Tokyo
–Tokyo japan ki rajdhani aur sabse bada nagar hai. Yah japan ke honsho Dweep par basha hua hai, tokyo vishv ke sabse vikshit nagro me se ek hai. Yah japan ke rajnitik, aarthik aur sanskrtik gatividhiyon ka pramukh kendr hone ke sath- vishv ka dusra pramukh aarthik kendr bhi hai.Ese paryatan chhetr me khas pasand kiya jata hai.
 
★Switzerland
Switzerland duniya ka sabse jyada khoobsurat sahar mana jata hai.Jaha har jagah hariyali hi hatiyali payi jati hai.Yaha aapko Kuch naya Nature ke bare me janne ko milega.Yaha har sal lakho-croro praytak prakriti se bate karne aate hai.Hamare kayi bollywood film ki shooting bhi switzerland me ki gayi hai.Yaha ki khas bat yah bhi hai ki yaha aapko pardooshan ka nam matr bhi aapko nahi milega.Yah swaksh sahro me se ek mana jata hai.Yaha tourist log aana kafi pasand karte hai.
 
Last Word:
Toh Dosto i hope apko yeh article se janne ko mila Best beautiful Tourism place in the word. Agar aapke pas bhi aise hi Tourism place ke bare me knowledge hai to aap hume comment karke zaroor bataye. Aur Agar aapne kahi desh-videsh en jaise jagho par ghumne gaye to aapka experience kaisa raha ye bhi hame comment karke zroor bataye. En jagaho ke bare me jo es article”World’s Best Tourism place” me bataya gaya hai eske bare me koe aur bhi jankari chahiye to aap comment kar sakte hai. Word’s best tourism place post ko apne dosto ke sath jarur share kare!

Hamare site ki latest post pane ke liye Hamare Facebook page ko like kare, Hamare blog ki Bell icon ko press Karen. Knowledge finder visit karne ke liye Bahut Bahut Dhanyawaad.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *