Biography of Rani Lakshmibai the queen of Jhansi in Hindi

Biography of Rani Lakshmibai the queen of Jhansi in Hindi, rani lakhmibhai ke bare mein, jivan parichay

Namaskar doston aaj is post ke jariye Jhansi ki Rani Lakshmibai aur Jhansi ki yuddh ke bare mein kuch jaankari aap logo se share kar raha hu. Agar aap Rani Lakshmibai aur jhansi ki yuddh ke baade mein janna chahte hai to is post ko antim tak jarur padhe, umeed hai yeh post aap ko pasand aayega dhanywaad.

Rani Lakshmibai ki jeevani About Ranilakhsmibai in Hindi

Lakshmibai ka janma Varanasi mein 19 November 1828 ko hua tha. Unka bachpan ka naam Manikarnika tha lekin pyar se unhe Manu kaha jata tha. Unki Ma ka naam Bhagirathibai aur pita ka naam Moropant Tambe tha. Moropant al marathi the aur maratha Bajirao ki seva mein the. Mata Bhaghirathibai al sanskrit, budhimaan aur dharmanishth swabhaav ki thi tak unki Ma ki mrityu ho gyi. Kiuki ghar mein Manu ki dekhbhaal ke liye koi nahi tha isiliye pita Manu ko aapne sath Peshwa Bajirao dvitiyo ke darbar mein le jaane lage. Jaha chanchal aur sundar Manu ko sab log ushe pyaar se “Chhabili” kehkar bulaane lage. Manu ke bachpan mein shashtron ki shiksha ke sath shastro ki shiksha bhi li. Saal 1842 mein unka vivaah jhansi ke maratha shaasit raja Gangadhar Rao Newalkar ke sath hua aur weh jhansi ki rani bani. Vivaah ke bad unka naam Lakshmibai rakha gya. September 1851 mein rani Lakshmibai ne ak putro ko janma diya. Parantu chaar mahine ki umra mein hi uski mrityu ho gyi. Putro gaud lene ke bad 21 November 1853 ko raja Gangadhar Rao ki mrityu ho gyi. Dattak putro ka naam Damodar Rao rakha gya.

Jhansi ka yuddh

Jhansi 1857 ke sangraam ka ak pramukhya kendra ban gya jaha hingsa bhadak uthi. Rani Lakshmibai ne jhansi ki suraksha ko sudridh karna suru kar diya aur ak swayamsevak sena ka gathan prarambh kiya. Is sena mein mahilaaon ki bharti ki gyi aur unhe yuddh ka prashikshan diya gya. Saadhaaran janta ne bhi hamshakl thi ko usne aapni sena mein pramukhya sthan diya.

1857 ke September tatha October ke mahinon mein padosi raajya Orchha tatha Datia ke raajyon ne jhansi par akraman kar diya. Rani ne saphaltapurvak ise viphal kar diya. 1858 ke January mahine mein british sena ne jhansi ki aur badhna shuru kar diya aur March ke mahine mein shahar ko gher liye. Doo haphthaon ke ladaai ke bad british sena ne shahar par kabja kar liya. Parantu rani Damodar Rao ke sath angrejon se bach kar bhag nikalne mein saphal ho gyi. Rani jhansi se bhag kar Kalpi pahunchi aur Tatya Tope se mili.

Tatya Tope aur rani ki sanyukt senaaon ne Gwalior ke vidrohi senikon ki madad se Gwalior ke ak kile par kabja kar liya. Bajirao Pratham ke vanshaj Ali Bahadur dvitiyo ne bhi rani Lakshmibai ka sath diya aur rani Lakshmibai ne unhe rakhi bheji thi isiliye wah bhi is yuddh mein unke sath saamil huye. 18 June 1858 ko Gwalior ke pas Kota ki saray mein british sena se ladte-ladte rani Lakshmibai ki mrityu ho gyi. Ladaai ki report mein british general Hyuroj ne tippani kee ki rani Lakshmibai aapni sundarta, chalaki aur dridhta ke liye ullekhneey to thi hi, vidrohi netaaon mein sabse adhik khatarnaak bhi thi.

Swatantrata yuddh mein Mahilaaon ki bhumika

Bharat mein jab bhi mahilaaon ke sashaktikaran ki bat hoti hai to mahan virangana rani Lakshmibai ki charcha jarur hoti hai.Swatantrata ki sangraam mein rani Lakshmibai ke sath aur bhi bahut mahilaaon ne mahatvapurn bhumika nibhayatha.Rani Lakshmibai na sirf ak mahan naam hai balki woh ak aadarsh hai un sabi mahilaaon ke liye jo khud ko bahadur mante hai aur unke liye bhi ak aadarsh hai jo mahilaein sachti hai ki woh mahilaein hai to kuch nahi kar sakti.

Desh ke pehle swatantrata sangraam mein mahatvapurn bhumika nibhane wali rani Lakshmibai ke apratim shaury se chakit angrejon ne bhi unki prasansha ki thi aur woh aapni veerta ke kisson ko lekar kingvandanti ban chuki hai.

At Last

Toh dosto yeh tha aaj ke topic Rani Lakshmibai ke bare mein, asha karta hoon abhi aap jan gaye hai Rani Lakshmibai aur jhansi ki yuddh ke baade mein. ummeed hai yeh post apko pasand aaya hai.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Also…

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *