Google Drive kya hai ? | Full details of Google drive in Hindi

Google Drive kya hai ? | Full details of Google drive in Hindi, google drive ke fayde

Hi doston, Aaj ki is post me hum baat krne waale hai ke google drive kya hai, Google drive ko istemal kaise kiya jata hai aur google drive istemal krne ke fayde kya hai. Bahut sare log jante hai jab hum mobile lete hai to usme google ke others apps ke sath sath ye google drive ka app bhi diya jaata hai.

Magar google drive kya hai aur kaise istemal kiya jaata hai, isko istemal krne ka kya fayda hai ye har kisi ko malum nahi hota. To chaliye jaante hai Google drive ke baare me details me. Ia post ko aap end tak zaroor read kijiye apko is post me google drive se related saari jankari mil jaayegi.

Google Drive kya hai, What is google drive


Google Drive Kya hai

Google Drive Kya hai? Bhut logon ko malum nahi hota bs unho ne Google drive ka naam hi suna hota hai. Unke mobile me bhi agar ye application kahin dikh jaaye to wo usko aise hi ye soch ke chod dete hai ke ye unke kuch kaam ka nahi hai isi ke chakkar me wo uske baare me jankari nahi lete.

Google drive ek aisi Free Of Cost Online storage hai jisme aap apne photos, Videos, Documents aur Importamt Files ko online store kar sakte hai. Aapne memory card ka naam to suna hi hoga, wo offline storage hai magar ye google drive online storage hai aur ye internet connection dwara chalta hai. 


Google Drive Ka Istemal kaise kare
Google Drive ka istemal krna bahut hi aasan hai, magar ye online hone ki wajh se kayi log is se dar bhi jaate hai, Wo ye sochne lag jaate hai ke google drive ek google ka app hai jispe wo photos ya videos share karenge to sab public ho jaayega, Kayi logon ko to aisa bhi lagne lagta hai ke agar hum isko chedenge to humara data hi delete ho jaayega mobile se. 

    Laptop kharidne se pehle kya diyan rakhe 

Ye sab vehem wali baate hai. Google Drive google dwara modify kiya hua ek online storage application hai jisme aap data store kr sakte hai. Magar aisa nahi hota hai google drive ko istemal krenge to apka kuch loss hoga, aur Google drive ko run krna bahut aasan hai. Isko chalane ke liye special study ki zaroorat nahi hai. Ye app Android Mobile aur PC dono me aasani se access ho jaata hai.

How to use Google Drive



Google Drive ko chalaane ke liye apko apni email id yaane G-mail Id ki zaroorat padegi. Jaise ki aap ko Maloom hoga Jab Hum new smartphone kharid te hai to play store access karne ke liye Hame email id ki jarurat padti hai same Waise vaise hi Google Drive ko chalane ke liye email Id yane Gmail Id ki zaroorat padti hai.

      VPN kya hai ? Full details hindi me

Google Drive ko istemal karne ke liye aap ko apni Kisi bhi email id Se Uske login karna hoga login karne ke baad aap Agli Sibal Ho Jayenge Google Drive ke functions ko istemal karne ke liye matlab aap job email id se Google Drive par login karte ho ya sign up karte ho to Google drive aap ko permission de deta hai ki aap Google Drive pe apni photos videos upload karne ke liye aur unko save karne ke liye ready hai.

Google Drive Istemal karne ke Fayde.
Bahut se logon ko malum hi nahi hai ke Google Drive ko istemal krne ke kya fayde hote hai magar Google Drive ko jo log istemal krte hai ya jin logon ko istemal krna aata hai unke liye ye bahut faydemand sabit hota hai. Kyunki isme hum hi boss hote hai aur humare ilaawa isko koi ched bhi nai sakta. To chaliye jante hai Google Drive use krne ke benifits ke baare me.


1. 15GB Free Storage
Sabse bada aur Pehla Pehla ye hai ki Google Drive Mein apko 15 GB Tak storage Mil Jati hai jo ke free hoti hai. Apne memory card kharide hi Honge to aapko Maloom Hoga Koi Memory Card 2GB ke hote hain Kayi 4 GB ke, kayi 32 GB Ke aur 64GB ke hote hai aur kuch memory card to 256GB Ke Bhi Hote Hain upar se uske GB ke hisab se charges bhi utne hi hote hai.

2. Free From Hack

Google Drive ko istemal karne ka dusra fayda ye hai ki aap ka data aapke Bina koi bhi dekh Nahi Sakta jab tak uske paas aap ki email id ko access karne ka password Na Ho. Maan Lo apne Google Drive Pe apni important file ko save kar ke rakha hai.

Koi unknown vyakti aapse woh lena Chahe ya churaana chahe to nahi le Sakta or na hi chura sakta hai Kyon Ki aapne usko Google Drive Pe save kar ke Rakha hai. Agar usko wo data chaiye to uske paas apke email id ke sath sath password bhi pata hona chahiye.

3. Life Time Data Security
Google Drive istemal karne ka Teesra fayda Yeh hai ki Google Drive Pe aapka data 100% secure rehta hai Kyunki Aap Ne Dekha Hoga Jab Bhi Koi Memory Card kharida hai to uski Koi guarantee nahi hoti wo kabhi bhi kharab ho sakta hai.

Benifits of google drive, Google drive use karne ke fayde

Magar online Google Drive Pe data uploading karne pe yeh cheez nahi hoti Kyunki Google Khud Aap Ke Data ko protect karne ka Dawa karta hai aur guarantee bhi deta hai. Yahan se data tabtak delete nahi hoga jabtak aap usko khud remove nahi karenge.

4. More Space Buying 
Google Drive ko istemal karne ka aur ek bada fayda hai agar aapko bahut Sare space ki jarurat padti hai aur aap usko offline storage Main Nahi Rakhna Chahte hai, online storage Mein Rakhna Chahte Hain to Google drive pe apko storage kharidne ka bhi mauka Mil Jata Hai. Jis Se aap unko kuch paise dekar apne Gmail ID par space bhi Paa sakte hain.

In space ko paane ke liye aap ko monthly Google ko kuch charges pay karne Hote Hain aur ye charges Google ke hisab se Hote Hain jo ke monthly plans me available hote hai. Apko google drive ke space kharidne ke liye kahin jaane ki aur kuch krne ki zaroorat nhi padti balki agar aap ko apne bank details fill krnk hai aur  Ye paise apke bank se cut jate hai yaane ke debit ho jaate hai. 

5. More Space Without Money

Google Drive ka ek ye bhi fayda hai agar aapka 15 GB ka storage full ho chuka hai aur aap Google pe paise nahi de sakte hain to aap Uske Alawa 2-3 email id Banakar usme bhi apna data save Rakh sakte hain Magar aap ko apne ID ka password or username yaad rakhna padega.

Kyunki Agar apne email id aur uske password ko Bhul jate hai to aap ka data Hamesha ke liye kho jayega Kyunki Google kisi ko bhi aapke dwara uploaded Kiya Hua data share nahi karta hai, isliye kahin agar aap pasword ko bhul jaaye to usko forgot krde apke no. pe OTP aayega jis se aap new password set kar sakte hai.

Google Drive Security

Google drive humaare email se chalti hai aur hum hi iske boss hote hai, koi third person humaare data ko tabtak nuksan nahi pahuncha sakta jabtak hum usko nuksan krne ka mauka naa de, Magar bzy life hone ki wajh se hum kuch aisi galtiyan humaare email ke sath kar baith te hai jis se humaara data khatre me aajata hai.


Aur humaare unhi galtiyon ki wajh se hack ho jaata hai phir humaare paas pachtaane ke ilaawa koi dusra option nhi hota. Aise galtiyan aapse na ho isliye Google Drive istemal krne se pehle Rakhe in baaton ka dhyaan taki apka data apki kisi bhi galti ka shikaar na bane.

1. Yaad rakhiye aap ek no. se sirf 2-3 email Id hi connect kar sakte hai yaane bana sakte hai.
2. Apne email is ka password kisi ko na btaaye.
3. Apne email pe “Yes, I’m In” waali security zaroor on kare. Ye apke email ko hack hone se bachayega

Google Drive Ki Security, Security Of Google Drive


4.
Apne email ka password 10-14 characters me rakhein aur special characters ko istemal zaroor kare.

5. Apne email ke sath password ko kahin bhi likh kar mat rakhein. 
6. Apna password 2-3 mahine me ek baar zaroor Change kare..

To doston ye thi jankari google drive ke baare me. aasha krti hun aap details me jaan gaye honge ke google drive kya hai, Google drive ka istemal kaise krna hai aur google Drive istemal krne ke kya kya fayde hote hai.

Apko ye post kaisi lagi comment me zaroor btaiyega. Is post ko apne friends aur family ke sath share krna na bhule aur Google drive se related koi bhi sawal ho to usko comment me zaroor btaaye.

Aise hi knowledgeable post paane ke liye humaare website Knowledge Finder ko follow krna na bhule aur humaare Facebook page ko bhi like kare. 

Apka humari ye post read krne ka bahut bahut dhanyawad.

10 thoughts on “Google Drive kya hai ? | Full details of Google drive in Hindi

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *