MCA kya hai? MCA ke bare main jankari!

About MCA course in hindi! Master Degree course after BCA.

Namaste dosto kaise hai aap log, asha karta hu ki aap sab asse hai or happy hai. Aap sabhi ka knowledge finder blog main swagat hai.

Aaj kal education ki importance badh gaya hai. aap jaha bhi jate ho chahe jo bhi xetra ho sabhi xetro mein aaj kal education important ho gaya hai.

Education ke bina hum aaj kuch soch bhi nahi sakte hein. Education ke bahut sare bhag hote hein, jisme sabse pehle bhag hote hai HSLC(matric).

Dusra bhag hote hain 10+2 yani higher secondary(H.S), uske bad aata hai diploma, uske bad degree level yani bachelor degree.

Uske bad ate hain master degree, uske bad or bhi bahut sare hein jaise PG(post graduate), Phd. ye sab.

Dosto Master degree andar main ek bhag ata MCA. Jo ek professional course hota hai.

To dosto aiye is post par hum jante hai ki MCA kya hota hai, MCA ke liye eligibility kya hona chahiye, MCA ke full form ye sab ke bare main.

MCA ke full form:

MCA ke full form hai Master of Computer Application.

MCA kya hota hai?

MCA ek professional course hota hai, jo ek master degree hota hai. MCA course ek bahut hi valuable course hota hai.

MCA ke kya eligibility hona chahiye?

MCA karne ke liye hume pehle graduation complete karna hota hai. Graduation ke baad hi hum MCA kar sakte hai. Khaskar agar app BCA or Bsc Computer Science ke student to jyada assa hota hai. Aap baki graduation ke bad bhi kar sakte hai.

Graduation ke bad hi MCA karne ka chance milta hai kyuki MCA ek master degree hai, or hum bina bachelor degree ke master degree nahi kar sakte.

Agar aap govt college se MCA karna chahte hai to us college main admission ke liye entrance dena padega, kuch college aisa bhi hai jiske liye aapko entrance dena nahi padta hai.

Agar aap kisi private college se MCA karna chahte ho to aapko entrance ki chinta jyada nahi hote hai, kyon ki aapko waha par admission asani se mil jata hai.

Sirf kuch hi private college par MCA course ke liye entrance dena padta hai.

MCA – Master of Computer Application - BFIT

MCA course karne ke fayde:

MCA course karne ke bahut sare fayde hai, MCA course karne ke bad aapko bahut bade bade compania ya bade bade institution main teaching ki job milti hai.

MCA course karne ke bad agar aapko kisi bhi company main job lagti hai to aap ko bahut acha salary package mil sakta hai.

MCA karne ke bad aap teaching line pe bhi ja sakte ho, agar aap ko teaching main interest hai to.

MCA course karne ke bad aap apna khud ka application bhi bana sakte hai, ya khud ek IT company bhi khol sakte hai.

MCA course karne ke bad Aap ko govt ke bade bade company main bhi job lag sakte hai.

Last word:

Toh dosto yeh tha MCA ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila MCA course ke bare mein.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Ye bhi padhe:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *