Sunil Gavaskar ke jeevan parichay!

Cricketer Sunil Gavaskar biography in hindi!

Bharat ek cricket premi desh hai. bharat mein sabse pasandida khel hai cricket, jo bharat ke logo ke dilo mein raj karta hai.

Bharat mein kisi bhi cricket tournament ek tyohar ki tarah hota hai. bharat ke lag bhag sabhi log cricket dekhte hai.

Bharat mein cricket itna popular hone ka karan hai, Bharat ke mahan khiladiyo ke khel.

Bharat ne bahut bade bade cricketaro ko janm diya hai, jiske badulat bharat aaj duniya mein cricket mein ek number hai.

Bharat un mahan khiladiyo ke bare mein hume janne chahiye. Bharat ke un mahan khiladiyo ke bich ek khiladi hai Sunil Gavaskar ji.

To dosto aiye is post par hum jante hai ki Sunil Gavaskar ji ka janam kaha hua, Unka cricket carrier ki shuruwat kaise huye ye sab ke bare mein.

Sunil Gavaskar ji ke janam:

Sunil Gavaskar ji ke janam 10 July 1949 ko Bombay(Mumbai), Maharastra main huwa tha.

Sunil Gavaskar ji ke family:

Sunil Gavaskar ji ke pita ka naam hai Manohar Gavaskar or Sunil Gavaskar ji ke mata ka naam hai Meenal Gavaskar. Sunil Gavaskar ji ki wife ke naam hai Marshneil Gavaskar. Sunil Gavaskar ji ke bete ka naam hai Rohan Gavaskar.

Sunil Gavaskar ji ka pura naam:

Sunil Gavaskar ji ko hum generally Sunil Gavaskar ji ke naam se hi jante hai, lekin unka pura naam hai Sunil Manohar Gavaskar.

Sunil Gavaskar ji ke nick name:

Sunil Gavaskar ji ko aise to hum bahut sare nick nick name se jante hai, lekin sabse jyada jo famous hai wo hai “Sunny Pajji”. Sunil Gavaskar ji ke kuch or nick name hai “Little Master”.

Sunil Gavaskar was called 'Mumbai Bradman' in his prime: Ravi Shastri |  Cricket News – India TV

Sunil Gavaskar ji ke carrer:

Sunil Gavaskar ji ek retired bhartiya cricketer or Bhartiya Cricket team ki retired Captain bhi hai. ek right handed all rounder hai.

Sunil Gavaskar ji ke international carrier ki shuruwat 6 March 1971 main huwa tha West Indies ke khilaf jo ek test match the.

Sunil Gavaskar ji ne 13 March 1987 main test cricket se retire liya tha or unka last test the Pakistan ke khilaf.

Sunil Gavaskar ji ne ODI debut kiya tha 13 July 1974 main England ke khilaf or unka aakhri ODI match the England ke khilaf 5 November 1987 main.

Sunil Gavaskar ji ne ek bhi T20I match nahi khela tha. Kapil Dev ji ne 1967 se lekar 1982 tak Bombay ke liye domestic cricket khele the.

46 Little Master ideas | sunil gavaskar, cricket, world cricket

Sunil Gavaskar ji ke highest scores:

Sunil Gavaskar ji ke ODI main highest score hai 103 run, Test cricket main highest score hai 236 run.

Sunil Gavaskar ji ke total run hai ODI main 3092, test cricket main 10,122.

Sunil Gavaskar ji ne 108 ODI cricket khele the or 125 Test match khele the.

Sunil Gavaskar ji aaj kaal TV par commentry karte hai.

Last word:

Toh dosto yeh tha Sunil Gavaskar ji ke bare mein kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila Sunil Gavaskar ji ke bare main ke bare mein.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Ye bhi padhe:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *