Amazon par cheeze order kaise kare!

Amazon se product kaise kharide!

Aaj kaal hum digital jamane mein reh rahe hai. Hum apna sabhi kam lag bhag online pe hi karte hai. Choti se lekar choti kaam tak hum online pe hi karte hai.

Internet ne hamara duniya itna asan kar diya hai ki hum apne choti se lekar choti cheez taak internet ke jariye kharid sakte hai. Hum apna sara shopping bhi internet ke shopping app ke jariye kar sakte hai.

Internet waise hi ek shopping app hai amazon, jaha se hum apne pasandita sabhi cheeze kharid sakte hai. Electronics se lekar ghar saman tak, kapde or bahut kuch hum amazon se kharid sakte hai.

To dosto aiye is post par hum jante hai ki amazon se saman kaise kharide ya order karte hai, iske payment process kya hota hai ye sab ke bare mein.

Amazon se saman kharidne ke tarike!

Amazon par cheeze order kaise kare:

Amazon par cheeze order karne ke liye pehle hum ko amazon app ko download karna padega yani app jo device use karte hai us device pe amazon app ko install karna padega.

App insatall hone ke bad amazon app ko hume open karna padega, open karne ke bad apko amazon pe registration karna padega. Registration karne ke liye apse apka naam,number ya gmail or adress puchega matlab waha pe naam or adress enter karne ke liye option ayega.

Apko us option par apna naam or adress enter karne ke bad apka amazon pe registration ho jayega. Registration ke bad apko phir se app open karna hai, open karte hi apke screen ke ekdom upar ata hai search ke option. Apko jo bhi cheez pasand aye ya app jo bhi dhundna chahte ho apko us search option par jake search kar sakte hai.

Search karne ke bad apka pasandita product apke samne aa jata hai, usme bhi bahut sare category ke product aa jata hai, in sab mein se apko jo pasand ho us par apko click karna hai.

waha click karne ke bad apka select kiya huwa saman ka price aa jata hai. Agar apko wo cheez kharidne ho to apko niche do option mil jata hai, ek hota hai buy now or dusra hota hai add to cart.

Apko buy now par click karna hai, waha click karne ke bad apke screen par aa jata hai mobile number ya gmail enter karne ke option, jo number or gmail apke registration ke time pe diya tha. uske bad apko continue karna hai.

Uske bad apke order place ho jata hai or karib kuch din bad apka order apke adress par aa jata hai.

Amazon ke payment process:

Amazon pe app online or offline payment dono hi kar sakte ho. Aap agar koyi mahingi cheez kharidne chahte ho or apka itna paisa nahi hai to aap wo product EMI ke through bhi kharid sakte hai jo ki ek babut aschi baat hoti hai.

Last word:

Toh dosto yeh tha Amazon par cheeze order kaise kare iske bare kuch jankari, asha karta hu apko yeh jankari pasand aaye hai ,aur umeed he ki isse aap logo ko kuch janne ko janne ko mila amazon ke order system ke bare mein.

Is blog ke latest post ki notification pane k liye facebook page like kare,blog ke bell icon ko press krke subscribe krna na bhule. knowledge finder blog Visit karne k liye or likh padhne k liye apka bahut bahut Dhanyawaad.

Ye bhi padhe:

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *